1 Insaan insaan ko maaf kar deta hai ... kabhi kabhi bhagwan bhi insaan ko maaf kar deta hai ... magar insaan ki bhool usse kabhi maaf nahi karti ... saza dekar hi chhodti hai
by Raaj Kumar () 2 Mere barbaad ghar mein tune kyun mashaal jalayi thi ... meri tareek raaton mein ujala banke aayi thi
by Jeevan () 3 Main ishq hoon ... ishq jisne seekha nahi duniya mein kisi se darna ... jisne seekha hai agar kuch toh mohabbat karna ... husn ke naam par mitt jana, fanaa ho jana ... jaan se khelna, tasveer-e-wafa ho jana
by Sunil Dutt () 4 Mohabbat shehad bhi hai, zehar bhi, talwar ka gham bhi ... yeh woh zalim maseeha hai ke zakhmi ho gaye hum bhi
by Jeevan () 5 Dagabaazi agar karni thi ulfat kyun jatayi ... jafaaon ne teri bedard seena jaag kar dala ... simatghar bewafa tune jala kar khaak kar dala
by Jeevan () 6 Hum toh actor log hai, wah pe zinda hai ... dekhne wale wah na kare, toh dil se aah nikalti hai
by Sunil Dutt () 7 Fareb de gayi Adam ko kya hai aurat bhi ... siyaahkhana bana dala isne jannat bhi
by Jeevan ()