1 Agar hasratein aukaat se zyada badh jaye na ... toh tabahi ke liye dushman ki zaroorat nahi padti
by Sunny Deol () 2 Agar maine murdabad ka naara bhi laga diya na toh mere mulk ki shaan kam nahi hogi ... humara tiranga asmaan mein lehra raha hai aur woh lehrata hi rahega ... agar har Pakistani ne Hindustan murdabad ka naara bhi lagaya na ... toh unki awaaz hamare border tak bhi nahi pahunchegi ... aur agar har Hindustani ne zindabad ka naara lagaya ... toh uski awaaz ki goonj tum sabko phaad degi ... Hindustan zindabad!
by Sunny Deol () 3 Agar yahan ke logon ko dobara mauka mile na Hindustan mein basne ka ... toh aadhe se zyada Pakistan khali ho jayega ... tumhara yeh siyasipan tumhe bhikhari bana dega ... katora lekar ghoomoge, bheekh bhi nahi milegi
by Sunny Deol () 4 Hindustan Musalmano ka hai, Hindustan Christiano ka hai, Sikho ka hai, Hinduo ka hai ... har Hindustani ka hai ... aur in sabne milkar azaadi ki ladai ladi hai, qurbaniya di hai
by Sunny Deol () 5 Namaz padhne ja rahe hai na aap ... toh Allah se apne liye dua maang lena ... mera babbe yahan na aaye ... kyun ki agar woh yahan aa gaya na, aur usne meri yeh halat dekh li ... toh tere itne chithde karega, itne chithde karega, itne chithde karega, tera poora Pakistan nahi gin payega
by Unknown () 6 Agar apne Rasool ke raste pe chalta na toh ghazwa-e-hind nahi, jazba-e-hind ki baat karta ... aur duniya ek jannat hoti
by Sunny Deol () 7 Tune jitni Quran padhi hai na ... usse kayi zyada meri maa ne mujhe sunai hai, samjhayi hai
by Unknown ()