1 Dil se soldier, dimaag se shaitaan hai hum ... bachke rehna humse Hindustan hai hum
by Tiger Shroff () 2 Kehte hai ek naya dushman aksar ek purana dost hota hai
by Unknown () 3 Hindustan ke paas har tarah ki tanks, missiles aur aircrafts hai ... lekin forces hathyaaron se nahi ... soldiers se banti hai
by Sonakshi Sinha () 4 Jab jab is duniya mein andhere aur roshni ke beech jung huyi hai ... us mein ek dhaal bankar, ek kavach bankar, is duniya ki rakhsha karne ke liye ek soldier hi khada hua hai
by Unknown () 5 Science, vigyaan, ek aisi mashaal joh duniya ko andhere mein rasta dikha sakti hai ... lekin agar galat haathon mein pad jaye toh usse jalakar raakh bhi kar sakti hai
by Unknown () 6 Badla woh zehar hai joh hum doosron se lekar khud peete hai
by Sonakshi Sinha () 7 Hamara ego hamare talent se bada hai
by Tiger Shroff () 8 Dard mitane ka sabse aasaan tareeka kya hota hai ... apna dard dushman ko lauta do
by Unknown () 9 Niyat kabiliyat se badkar hoti hai
by Ronit Roy () 10 Yeh maidaan tera zaroor hoga ... lekin is khel ke sabse purane khiladi hum hai
by Akshay Kumar () 11 Jiske paas taqat hoti hai woh darr ko control karta hai ... aur joh darr ko control karta hai wohi khuda hota hai
by Prithviraj Sukumaran () 12 Sahi aur galat kaun decide karta hai ... main batata hoon ... agar sau log milke galat kaam bhi kare toh woh sahi kehlate hai ... aur ek aadmi akela sahi kaam kare toh woh galat
by Unknown () 13 Kal kare so aaj kar ... aaj kare so ab ... pal mein pralay hogi ... bahuri karoge kab
by Unknown () 14 Jiske paas taqat hoti hai woh hamesha sahi hota hai ... aur is waqt taqat mere pass hai
by Unknown ()