220 movie in General - Movie - PartyStuff

Heer Raanjha (1970) | show

classification
category: General
type: Movie
genre: General
wood: Bollywood
language: Hindi
cast
1) Raaj Kumar - as General
2) Unknown - as General
3) Priya Rajvansh - as General
4) Pran - as General
5) Prithviraj Kapoor - as General
6) A. K. Hangal - as General
7) Jeevan - as General
8) Sapru - as General
view cast list
dialogues
1 Basakar dilon ko mittati hai duniya ... hasakar hamesha rulati hai duniya
by Raaj Kumar ()
2 Tune sab paaya hai, aashiq ki nazar paayi nahi ... jabse dekha tujhko duniya ki taraf dekha nahi ... jabse chaha tujhko apni yaad bhi aayi nahi ... tukhjo paana zindagi hai, tujhko khona maut hai ... aur kuch iske sivah mere fasaane mein nahi ... maang loonga mein khuda se yah chura loonga tujhe ... tujhsa moti doosra uske khazane mein nahi
by Raaj Kumar ()
3 Laila ke aangan mein joh bhangra ho gaya ... Majnu naacha aur yoon naacha ke langda ho gaya
by Unknown ()
4 Kya milega bhala rulaake mujhe ... paoge kya jala jalake mujhe
by Priya Rajvansh ()
5 Yun toh duniya ne bhi teer maare bahut ... yaad aayenge ehsaan tumhare bahut
by Priya Rajvansh ()
6 Khuchal doonga, masal doonga, jala doonga, loota doonga ... rulaya mujhko kismat ne ... main duniya ko rula doonga
by Pran ()
7 Chedke dil ke tootte taaron ko, ab tum uski sadaa se darte ho ... khud hi toofan uthaye hai tumne, aur khud hi hawa se darte ho
by Priya Rajvansh ()
8 Tere zakhm meri tadap se harre hai ... meri aankh mein tere aasoon bhare hai
by Raaj Kumar ()
9 Dhongi shaadi ka tumne rachaya fisool ... na kiya na karoongi yeh rishta kabool
by Priya Rajvansh ()
10 Sab apni soochte hai, sabko dhyan hai apna ... yahi hai rang toh poora na hoga ek sapna
by Pran ()
11 Layega mere dil ki tadap, koi kahan se ... sunna hai mera haal, sunno meri zabaan se
by Raaj Kumar ()
12 Ishq jis mein basa nahi rehta ... aaise dil mein khuda nahi rehta
by Priya Rajvansh ()
13 Tu jab aa jaati hai paas ... bhook mar jaati hai, jaag uthti hai pyaas
by Raaj Kumar ()
14 Kaunsi gutthi hai woh joh humne suljahi nahi ... aaisi fariyaad aaj tak darbar mein aayi nahi
by Prithviraj Kapoor ()
15 Sharmati hai kyun aaj meri baahon mein aake ... le jaonga ek din tujhe doli mein bithake
by Raaj Kumar ()
16 Kyun matakti hai bahut ... aaj tanhayi khatakti hai bahut
by Pran ()
17 Zara yeh raat dhalne de, nasha tera utaroonga ... jawaani bhool jaye ishq, tujhko aaise maroonga ... andhere mein agar maara toh kehlaonga main buzdil ... tadap le raat bhar, pehli kiran hogi teri kaatil
by Pran ()
18 Meri subahon ko roshni dedo ... meri shaamon ko chandni dedo ... mujhko tum meri zindagi dedo
by Priya Rajvansh ()
19 Usse kehna ke tum mera ek khwab ho, joh chamakta hai dil mein woh mahatab ho ... usse kehna ke gehuyon ke kheton ka rang, tilmilati hui titliyon ki umang ... usse kehna ke jharnon ka chanchal shabaab, ghat ki taazgi, aabroo-e-janab ... usse kehna ke jhoolon ki angdaiyan aur udhte dupatton ki shenaiyan ... usse kehna ki chakki ke geeton ki aag, ladkhadati jawaani, machalta suhaag ... usse kehna ke dulhanon ke kajal ki pyaas, pehle bhose ki garm aur thandi mithaas ... itni ranginiyon ko jab ikhja kiya, Heer kudrat ne tab tujhko pehda kiya
by Raaj Kumar ()
20 Kya khadi baatein banati hai ... khuda ka khauf kar, kyun aag is ghar mein lagati hai ... zara soorat toh dekh apni, tujhe Raanjha satayega ... tu jis raste se guzregi, woh us raste na jayega
by Unknown ()
21 Koi ladki dabaav mein aake, darke, majboor hoke, ghabrake agar hui ho nikaah par raazi ... shaadi jayaz nahi hai woh qazi
by A. K. Hangal ()
22 Baarat mein halki si jhalak apni dikhake ... chhoda mujhe is husn ne deewana banake ... doori na hui dil ko kisi tarah gawara ... chhod aaya hamesha ke liye takht hazara
by Raaj Kumar ()
23 Milke tanhai ka ehsaas usne doona kar diya ... dil kiya aabad kuch aaise, ki soona kar diya
by Raaj Kumar ()
24 Mohabbat ka tamasha ishq ki taseer dekhoge ... mere seene mein dil mein Heer ki tasveer dekhoge
by Raaj Kumar ()
25 Chand ubharta hua, bujhte huye chehre dekho ... chandni chhitki hai, cha jaye andhera jaise ... is tarah tootkar bhikre hai zameen par sapne ... lut gaya ho kisi baraat ka dera jaise
by Unknown ()
26 Haqeeqat khul gayi teri ki tu kaisa gavala hai ... kamine dushmano ke gaon ka tu rehne waala hai
by Pran ()
27 Doli se main jab utroongi hairan na hona ... mar jaon khushi se toh pareshan na hona
by Priya Rajvansh ()
28 Doori kabhi palbhar ko gawara na karenge ... agar jee na sake saath toh hum saath marenge
by Raaj Kumar ()
29 Jhoot ki boo tumhari baat mein hai ... lao koi gawah saath mein hai?
by Prithviraj Kapoor ()
30 Ishq se joh bacha nahi rehta ... woh kisi kaam ka nahi rehta
by Jeevan ()
31 Chandni aanchal mein bhar layi hai tu ... raat yeh chamki hai jab aayi hai tu
by Raaj Kumar ()
32 Meri nazar ne husn ka jadoo jaga diya ... tujhko sajaake aur bhi katil bana diya
by Raaj Kumar ()
33 Makkhiyan behte na kyun kabar pe saudai ki ... uski mashooq thi beti kisi halwai ki
by Unknown ()
34 Humse na kar mastiyan, mar gayi kya teri bhabhiyan ... ek do bhi nahi aath hai, tabhi toh iske yeh thaat hai
by Unknown ()
35 Hum mein lagi hai joh thokar, tu muskurata hai ... yeh waqt woh hai, ki dushman bhi raham khata hai
by Unknown ()
36 Sui aur wagi lo aur pyar ke dhaage ... seeyo kapde pehenke jinko jadoo jism ka jaage
by Raaj Kumar ()
37 Sochne ke waqt kahan, yeh koi aur gul khilayegi ... baat jungle ki aag hoti hai, lakh rokoge phail jayegi
by Pran ()
38 Raah ke kaanton se bhi ab ishq ghabrata nahi ... kya qayamat hai kahin dil ko karaar aata nahi
by Unknown ()
39 Jawaani ek din humpar bhi aayi thi ... kisi se pooch le, us waqt bhi mehnat ki khai thi
by Unknown ()
40 Kismat hai ki zinda bach gaye pyare ... na jaane dakuyon ne is jagah kitne jawaan maare
by Pran ()
41 Na tumko fikar, na bhai ko gham gharane ka ... khayal aaya kabhi mera ghar basaane ka ... diya kahin mera pehghaam, tumne cheddi baat ... zara bhi ki kabhi koshish, sajje meri baraat
by Pran ()
42 Jism-e-nazuk mein jaan khuda ki hai, mooh ke andhar zubaan khuda ki hai ... jab bhi bologe sach hi bologe, varna hargiz zubaan nahi khologe
by Unknown ()
43 Ek umeed kahi rang se lehrai hai ... dil mein aayi hai toh duniya mein bahaar aayi hai
by Unknown ()
44 Tu kya bolega deewane ... hamare ghar mein pehda ho gaya tu kaise, kya jaane
by Sapru ()
45 Koi mujhpar taras nahi khaata, koi patthar pighal nahi paata ... koi sunta nahi meri fariyaad, ek main aur saikadon jallad
by Priya Rajvansh ()
46 Gazab ki maang hoti hai joh dil ko maang leti hai ... ek aaisi taang hoti hai joh dil ko taang deti hai
by Unknown ()
47 Shaadi ki tamanna thi kunware chale aaye ... jaise gaye vaise hi bechare chale aaye
by Unknown ()
48 Jaise taise taalo isse ... lula landa jahan koi mil jaaye haath peele karo, nikalo isse
by Pran ()
49 Tumne sar par isse chadaya tha, tumne itna kiya hai isko kharab ... tumhi har baat iski sunte the, tumhi dena biradari ko jawab
by Unknown ()
more to explore
hapi: 0.0 (0)
is it popular:No
this page
code: mov220
bookmark:
share:
this is for reference purpose only. do check for copyright. do check for accuracy. the data may not be accurate/correct, may not reflect latest data, may have typo errors. the validility may have changed over time, may not be useful anymore. the content is/are not exhaustive.