1 Pyar ki kahani ek aisa pinjra hai jis mein mann ka panchi pharphara toh sakta hai ... magar nikal nahi sakta
by Manoj Kumar () 2 Yeh mat socho ke desh tumhe kya deta hai ... socho yeh ke tum desh ko kya de sakte ho
by Shashi Kapoor () 3 Khushi ke mauke par dard bhara geet chedna ... badi manhoos si baat hoti hai
by Manoj Kumar () 4 Joh aadmi chori karke bhaagte huye pakda jaaye ... woh zindagi bhar bhaagta rehta hai
by Zeenat Aman () 5 Meri janam patri, meri kundli, yeh degree hai ... aur iski kismat mein kitne rahu hai kitne ketu, yeh koi jyotshi nahi jaanta
by Manoj Kumar () 6 Naukri mile toh degree, degree ... nahi toh bigdree, bigdree
by Unknown () 7 Roti, kapada aur makaan par kabza karne waalon ke dil ... choohe jaise hai
by Aruna Irani () 8 Joh insaan choti choti khushi ko dhoondta ho ... uske samne khushiyon ka bhandaar khul jaye ... toh usse yakeen nahi aata
by Zeenat Aman () 9 Halaat jab jakad lete hai toh insaan buri se buri baat sochta hai
by Amitabh Bachchan () 10 Jiski zindagi par kalank lag jaye na ... usse duniya door bhaagti hai
by Moushumi Chatterjee () 11 Do pyar karne waale jab phir se mil jaaye ... toh teesra pyar karne waala kabhi dukhi nahi hota
by Shashi Kapoor () 12 Sach aur jhoot toh insaan ke chehre par likha hota hai
by Unknown ()