1 Kabhi raste mein mil jao toh katrakar guzar jana ... hum mein is tarah takna jaise pechana nahi tumne ... hamara zikr jab aaye toh yun anjaan ban jana ... ki jaise naam sunkar bhi hum mein jana nahi tumne
by Amitabh Bachchan () 2 Meri zindagi ka har ek pal, tere husn se hai judha hua ... tere honth thirke toh subah hai, teri zulf bhikre toh raat hai
by Amitabh Bachchan () 3 Mere dil ka woh hissa ... kambakht mera kab tha
by Amitabh Bachchan () 4 Tera haath, haath mein ho agar ... toh safar hi asle-hayaat hai ... mere har kadam pe hai manzilein ... tera pyar gar mere saath hai
by Amitabh Bachchan () 5 Daag daaman pe nahin ... dil pe liya hai maine
by Amitabh Bachchan () 6 Is duniya mein aadmi insaan ban jaye ... toh bahut badi baat hai
by Shashi Kapoor () 7 Tum insaan ke roop mein devta ho ... yah devta ke roop mein insaan
by Rakhee Gulzar () 8 Aapne kabhi apni aankhen dekhi hai? ... jahan dekhti hai ek rishta kayam kar leti hai
by Amitabh Bachchan () 9 Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ... ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein guzarne pati ... toh shadaab ho bhi sakti thi ... yeh ranj-o-gham ki shayahi joh dil pe chayi hai ... teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi ... magar yeh ho na saka ... magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai ... ki tu nahi tera gham teri justaju bhi nahi ... guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise ... isse kisi ke sahare ki aarzu bhi nahi ... na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag ... bhatak rahi hai andhero mein zindagi meri ... inhi andhero mein reh jauga kabhi khokar ... main janta hoon meri humnafas ... magar yoon hi kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
by Amitabh Bachchan () 10 Zindagi chand sawaal aur kuch jawaab hi toh bankar reh jaati hai
by Rakhee Gulzar () 11 Main zara romantic kisam ka aadmi hoon ... shaadi ke baad ishq karna toh chhod diya hai ... is liye biwi se romance karke kaam chala leta hoon
by Shashi Kapoor () 12 Meri baat ka meri humnafas, tu jawab de ki na de mujhe ... teri ek chup mein joh hai chupi, woh hazaar baaton ki baat hai
by Amitabh Bachchan () 13 Aap sooch kuch aur rahen hain ... pooch kuch aur rahen hain
by Amitabh Bachchan ()