1 Ek amir jab marta hai toh peeche sukh chain chhodkar jaata hai ... lekin ek gareeb jab marta hai toh dukh dard chhodkar jaata hai
by Amitabh Bachchan () 2 Paise se Mercedes khareedi ja sakti hai, makaan khareeda ja sakta hai, nursing home khareeda ja sakta hai ... zindagi ka har ek aaram khareeda ja sakta hai ... lekin dil nahi khareeda ja sakta hai
by Amitabh Bachchan () 3 Maante hai hum, hum gunehgaar hai ... sar jhukaye hai hum, aap sarkar hai ... apni baahon mein chupa lijiye humko ... sirf itni sazaa ke talabgar hai
by Amitabh Bachchan () 4 Samay woh pal hai jis mein ek ajnabi se modh par ... udhar se aata ajnabi, idhar se aate ajnabi ko dekhkar ruk jaye ... aur sochne lage ki hum kabhi na kabhi, kahin na kahin pehle bhi mil chuke hai
by Vinod Mehra () 5 Zindagi badi ajeeb cheez hai ... kabhi kabhi kisi se pehli bar milne par aaisa lagta hai, na jaane kitne dino se jaan pehchan hai ... aur koi koi aaise bhi hote hai joh sari zindagi ek saath rehne par bhi anjaane lagte hai
by Amitabh Bachchan () 6 Hamare mulk mein ek aadmi ko dus rupaiya ko gyarah rupaiya banane mein zindagi khap jaati hai ... lekin dus lakh ko gyarah lakh banana baayen haath ka khel hai
by Vinod Mehra () 7 Joh zindagi bhar doondha, woh paaya nahi ... aur joh paaya, usse chaha nahi
by Unknown ()