1 Pehle main tumhare pyar mein deewani thi ... aaj main tumhare izzat ki deewani ho gayi
by Sridevi () 2 Mujhe bhi giraftaar kar lo na ... pyar ki hathkadi lagakar dil ke lock up mein qaid kar lo na
by Sridevi () 3 Siyasat ki duniya mein maa, baap, bhai, behen, beti, damad koi kuch nahi hota ... kyun ki aadmi jab upar uthna chahta hai, tab yeh sab rishtey aur jazbaat bojh bankar usse neeche ghaseet lete hai
by Utpal Dutt () 4 Mere haath kanoon se zyada lambe hai ... jahan mera haath ja sakta hai, wahan kanoon ka haath nahi ja sakta
by Kader Khan () 5 Chal maafi maang nahi to sar, pair, mooh sab ek design ka bana doonga ... maafi maang!
by Amitabh Bachchan () 6 Neta jab tak giraftar nahi hota usse naam nahi milta ... logon ki humdardiyan nahi milti
by Kader Khan () 7 Mooch ka baal nikla nahi, shuru ho gaya haram kaari karne
by Amitabh Bachchan () 8 Agar tum mein se kisi ne apni jagah se hilne ki koshish ki ... toh tumhare tukdo ko sukhe patton ki tarah hawa mein uda doonga
by Amitabh Bachchan () 9 Main toh apne us dafnaaye huye kal ko kabr se wapas nikaalne ja raha hoon
by Amitabh Bachchan () 10 Maine duniya mein bade baimaan dekhe ... lekin aap logon ke takkar ka ek bhi nahi mila
by Amitabh Bachchan () 11 Kaun bewakoof hoga, joh aapka mazaak uda karke apne mazaak ka mazaak udayega
by Amitabh Bachchan () 12 Maa ka khoon chaatne wali kutte jaisi zabaan se main apna naam nahi sunana chahta
by Amitabh Bachchan () 13 Auraton ke shareer ka sauda karke daulat kamane waale log toh maine dekhe the ... lekin apni maa ka sauda karne waala dalaal maine apni zindagi mein pehli baar dekha hai
by Amitabh Bachchan ()