1 Ishwar hazar gunah karne ke baad maaf kar deta hai ... lekin ek baar maa ka dil dukhao toh woh kabhi maaf nahi karta
by Rajesh Khanna () 2 Dhan ko, hukumat ko mutthi mein rakhkar raj karne waale ameeron ko agar khatam kar diya jaye ... toh is duniya se ameeri aur gareebi ka farak hamesha hamesha ke liye khatam ho jayega
by Shatrughan Sinha () 3 Agar baazuon mein imaan ki taqat, dilon mein sachai aur zubaan pe "Inquilab Zindabad" ka naara hai ... toh zindagi ki har maqsad hamare kadamon mein hoga
by Shatrughan Sinha () 4 Ban gaya main bhi mazdoor aaj se ... aaj chutti hai, kaam karoonga kal se
by Amjad Khan () 5 Kiya aaj maine akalmandi ka kaam ... ticket lottery ka liya aur paya inaam ... sunke tum log hoge khushi se naach ... inaam mein mile mujhe rupai paanch
by Amjad Khan () 6 Bina shaadi karvaye aap marne chale ... bandook haath mein li nahi jung ladne chale
by Amjad Khan () 7 Nahi dalenge hum haath izzat pe tumhari ... pehnayenge mangalsutra yahi khwaish hai hamari
by Amjad Khan () 8 Keechri uttare huye zeharilay saanp ko dekhkar reham khana ... aur paschatap ka dhong rachane waale zalim ko maaf karna jurm hai
by Jeetendra () 9 Jabse dekha hai maine is daas ko ... na Shakespeare ko padha hai na Kalidas ko
by Amjad Khan () 10 Bhoolkar bhi paise nahi deta mera baap ... kaise khareedon kaise padhon koi kitaab
by Amjad Khan () 11 Janam tera is duniya mein kabhi nahi hoga ... main shaadi nahi karoonga, tu paida kaise hoga?
by Amjad Khan () 12 Jab insaan jawan hota hai toh usse samaaj aur society ki parvah hoti hai ... shaadi ke baad usse biwi bachon ki fikar hoti hai ... aur budhape mein toh sare parivar ki ... yahi toh insaan ki kamzori hai, yahi jeevan sangram hai ... jis mein rakht aur maas ka sangharsh nafrat aur mohabbat ke saath zindagi bhar chalta rehta hai
by Shreeram Lagoo () 13 Bacha tha ek hi dost, uski bhi ho rahi hai shaadi ... yahan har mandap se ladki bhaagti hai, isse kehte hai barbaadi
by Amjad Khan () 14 Baandha na mangalsutra maine kabhi kisi ko ... tum ghabrao ya chillao, baandhonga main tumhi ko
by Amjad Khan () 15 Vishvas mat karna ispe, naqli hai iska jhanda ... kabhi kutte ke pet se nikla hai murgi ka unda?
by Amjad Khan () 16 Gabrana mat ab main loogna iski jaan ... isse gilori banake khaonga jaise ho Banarasi paan
by Amjad Khan () 17 Buddhoo samajhke karta hai meri maskari ... gusse mein aaonga toh kar donga teri kir-kiri
by Amjad Khan () 18 Tum aadmi mamuli nahi bahut azeem ho ... agar yeh Anarkali hai toh tum uske Salim ho
by Amjad Khan () 19 Hamari jebon mein bhale hi daulat ki garmi na ho ... lekin hamare khoon mein bahut garmi hai, bahut jaan hai is mein ... tum logon ki tarah aircondition kamron mein bahetkar hamara khoon jam nahi gaya
by Jeetendra () 20 Bachche ka pet kharab hua toh usko julaab dena ... badhe ke dimaag kharab hua toh usko sharab dena
by Kader Khan () 21 Samundar ko reghistan mein badalna aur inquilab ki samadhi banana ... kisi ke bas mein nahi hai
by Shatrughan Sinha () 22 Jab tak yeh daulat sirf chand mutthi bhar logon ke haathon mein talwar bankar rahegi ... tab tak khudgarzi zinda rahegi
by Shatrughan Sinha ()