1 Paisa imaandari ke saath bhi kamaya ja sakta hai ... magar sirf itna ... agar pet bhar gaya toh badan kapdon se khali rahega ... aur agar kapdon se badan ko dhank liya toh bhook se pet khali
by Paresh Rawal () 2 Aadmi karz toh chuka sakta hai ... lekin ehsaan nahi
by Kumar Gaurav () 3 Maa ke doodh ki ek boond bhi tumhare jism ke andar gayi hoti ... toh ek aurat, ek maa ke liye tum aaisi ghatiya baat nahi karte
by Kumar Gaurav () 4 Roti, kapda aur makaan teeno cheezein imaandari ke saath ek saath ... nahi milti
by Paresh Rawal () 5 Yahan tum joh chahoge milega ... nahi milega toh sirf bahar jaane ka raasta
by Paresh Rawal () 6 Jab insaan sachchai aur imaandari se nanga hota hai ... toh logon ki nazar uske badan pe nahi ... uski aatma pe jaati hai
by Kumar Gaurav () 7 Zameer aur pet ki ladai mein, zameer sirf kitaabon mein jeetta hai ... haqeeqat mein jeet pet ki hoti hai
by Kumar Gaurav () 8 Sach kabhi kabhi khoobsurat rishton ko todh deta hai
by Unknown () 9 Apno ke jaane ki taqleef zyada hoti hai ... ya apno ke naa aane ki?
by Kumar Gaurav () 10 Jab Vicky ke panjon ki paanchon ungliyan judh jaati hai na ... toh usse kehte hai mukka, Vicky ka mukka ... aur jab yeh kisi ke jabre pe padta hai na ... toh aaisa lagta hai ki Kapil Dev ka fulltoss woh bhi bagair helmet ke
by Sanjay Dutt ()