491 movie in General - Movie - PartyStuff

Marte Dam Tak (1987) | show

classification
category: General
type: Movie
genre: General
wood: Bollywood
language: Hindi
cast
1) Raaj Kumar - as General
2) Govinda - as General
3) Om Puri - as General
4) Farha Naaz - as General
5) Iftekhar - as General
6) Kulbhushan Kharbanda - as General
7) Paresh Rawal - as General
view cast list
dialogues
1 Hum kutton se baat nahin karte!
by Raaj Kumar ()
2 Zindagi mein agar kisi ne mere liye dua ki ho ... toh woh bhi tujhe lag jaye
by Govinda ()
3 Bootiyan nochne waala geedar ... gala phadne se sher nahin ban jaata
by Raaj Kumar ()
4 Khoon jab bolta hai toh maut ka tandav hota hai
by Om Puri ()
5 Dada toh is duniya mein sirf do hain ... ek upar waala aur doosre hum
by Raaj Kumar ()
6 Hum tumhe aisi maut maarenge ... tumhari aane waali nasalon ki neend bhi uss maut ke khauf se udh jayegi
by Raaj Kumar ()
7 Duniya mein mard lakh imaandar hoga toh sadak pe padhe hue pachaas yah sau rupaiy ki note chhod dega ... lekin ek akeli, jawaan, anaath ladki ko koi nahi chhodta
by Farha Naaz ()
8 Rana ki maut itni choti nahi ... joh tumhari mutthi mein ho
by Raaj Kumar ()
9 Telephone uthakar khamosh rehna mardo ka kaam nahi hai
by Raaj Kumar ()
10 Badle ki aag woh pyas hai joh kisi doosre ke peene se nahi bhujti ... aur toofan ko kisi aur sahare ki zaroorat nahi padhti
by Raaj Kumar ()
11 Bazaar ke kisi sadak chaap darzi ko bulakar apne kafan ka maap de do
by Raaj Kumar ()
12 Yeh toh sher ki guffa hai ... yahan agar tumne karvat bhi li toh samjho maut ko bulava diya
by Raaj Kumar ()
13 Dushmani aur dosti agar ghaadi na ho ... toh us mein koi rang nahin aata
by Raaj Kumar ()
14 Seva, adarsh aur desh bhakti ki bhavna agar kitaabon mein hi bandh rahi ... toh phir hamare desh ki hasti bhi duniya ke kagazi naksho mein reh jayegi
by Raaj Kumar ()
15 Hamare dhande mein aasunyon ke saath koi rishta nahin hota
by Om Puri ()
16 Suna hai Bambai shehar mein insaan aur haivaan ... dono ko chupne ki jagah milti hai
by Farha Naaz ()
17 Is duniya ke tum pehle aur aakhri badnaseeb kamine hoge ... jiski na toh arthi uthegi aur na kisi kandhe ka sahara ... seedhi chitta jalegi
by Raaj Kumar ()
18 Hum mein amiron ki taqat ka nahin ... garibon ki kamzori ka ehsaas hai
by Raaj Kumar ()
19 Baaton ki talwar se gardan nahin katti
by Raaj Kumar ()
20 Hum uss sipahi ki tarah hai ... jiske haath mein sirf mayan hai ... talwar nahi
by Iftekhar ()
21 Hamare phone ke baad interview nahin hota ... letter of appointment seedha milta hai
by Raaj Kumar ()
22 Hamare kaan na nahin sun sakte ... agar na sunle ... toh hamare kaanon se angaray nikalne lagte hain
by Raaj Kumar ()
23 Rana karz aur farz dono ko ... ek hi nazar se nibhata hai
by Raaj Kumar ()
24 Police ki vardi aur khoon ki garmi aadmi ko bada khuddar bana deti hai
by Iftekhar ()
25 Adalat toh sirf saboot par faisla karti hai
by Kulbhushan Kharbanda ()
26 Gunaah ke samundar ki koi bhi machli ... tumhare jeevan ke pavitra nadi mein kabhi nahi aayegi
by Raaj Kumar ()
27 Hausle se har kaam mumkin hai ... hausle se insaan apni taqdeer jaise chahe waisi bana sakta hai
by Raaj Kumar ()
28 Gunaah chupane se gunehgaar nahi chup sakta
by Paresh Rawal ()
29 P.C. Mathur jisse dushmani karta hai ... uski jhadon ko khood kar hamesha ke liye khatam kar deta hai
by Kulbhushan Kharbanda ()
30 Zindagi ek natak hi toh hai, lekin zindagi aur natak mein farak hai ... natak ko jahan chaho, jab chaho badal do lekin ... zindagi ke natak ki dor toh upar waale ke haath mein hai
by Raaj Kumar ()
31 Unke mujhpar itne ehsaan hai ... ki agar main apni chamdi ka joota banakar bhi unhe pehnata ... toh bhi kam hota
by Govinda ()
32 Marte toh sirf bekasoor hai ... kusoorwar toh hamari tarah aaish karte hai
by Kulbhushan Kharbanda ()
33 Rana na pyase pehda hue the ... aur na hi pyase marenge
by Raaj Kumar ()
34 Aasoon bahane se dil toh halka ho jayega lekin gham ka bhoj halka nahi hota
by Raaj Kumar ()
35 Rana ki shatranj ka ghoda a-dai ghar nahin chalta ... seedhe raja ko marta hai
by Raaj Kumar ()
more to explore
hapi: 0.0 (0)
is it popular:No
this page
code: mov491
bookmark:
share:
this is for reference purpose only. do check for copyright. do check for accuracy. the data may not be accurate/correct, may not reflect latest data, may have typo errors. the validility may have changed over time, may not be useful anymore. the content is/are not exhaustive.