1 Jis tarah zameen par pair rakhe bagair insaan chal nahi sakta ... us hi tarah mujrim kanoon se bhaag sakta hai, lekin bach nahi sakta
by Rajinikanth () 2 Mohabbat ko samajhna hai toh pyare khud mohabbat kar ... kinare se kabhi andaaz-e-toofan nahi hota
by Kader Khan () 3 Kya ishq ka khoon kisi sahukar ke paan ki pichkari hai ... kya tumhari zindagi zindagi, hamari zindagi bimari hai ... tumhara khoon khoon, hamara khoon pani hai ... tumhara naam naam, hamara naam gaali hai ... tum karo zulm toh woh sarkari hai ... aur hum kare fariyad toh woh gaddari hai
by Kader Khan () 4 Is duniya mein do tarah ka keeda hota hai ... ek woh joh kachre se uthta hai ... aur doosra woh joh paap ki gandhgi se uthta hai ... kachre waala keeda insaan ko beemar kar deta hai ... magar paap ki gandhgi ka keeda saare samaaj ko beemar kar deta hai
by Amitabh Bachchan () 5 Yeh khoon bhi saali badi ajeeb cheez hai ... apne nikle toh dard hota hai ... lekin doosre ke nikle toh mazaa aata hai
by Anupam Kher () 6 Hosh mein aa zaalim gareeb jaagne waala hai ... tayaar raho bhaiyo ab yeh khujane waala hai
by Kader Khan () 7 Aaisi maut marenge ... ki ek baar maut ko bhi paseena aa jayega
by Amitabh Bachchan () 8 Baghavat mein teen kisam ke log hote hai ... pehla taqat ke zor pe zulm karne waala atyachari ... doosra us atyachari ke khilaf awaaz uthane waala krantikari ... aur teesra in dono ki situation ka fayda uthane waala mere jaisa vyapari
by Anupam Kher () 9 Makkari ki mitti se janam lene waale gaddari ke paude
by Kader Khan () 10 Mohabbat mitt nahi sakti zamaane ke sataane se ... ke suraj bhuj nahi sakta paani mein dubaane se
by Kader Khan () 11 Yahan gaddari ki sazaa sirf maut hoti hai ... maut
by Danny Denzongpa () 12 Kachre ke keede ko maarne ke liye Flit bazaar mein milta hai ... magar paap ke keede ko maarne waala Flit saala bana hi nahi hai aaj tak
by Amitabh Bachchan () 13 Ungliyaan kaant dene se haath nahi kat jaata
by Amitabh Bachchan () 14 Bachpan ki buri aadatein aur buri baatein insaan ko bura bana deti hai
by Amitabh Bachchan () 15 Ladki ki khoobsurati shareer ko dhakne mein hai ... shareer ki numaish karne mein nahi hai
by Kader Khan () 16 Insaan ke bheetar se shaitan janam leta hai ... wafaadar ke khoon se baaghi pehda hota hai
by Amitabh Bachchan () 17 Hum nahi teer aur talwar se marne waale ... katal karna hai toh ek tirchi nazar kafi hai
by Kader Khan () 18 Shanti shanti ... do minute shanti ... uske baad kranti
by Anupam Kher () 19 Badalo hat jao dedo raah jaane ke liye ... ke Laila aa rahi hai Majnu se ishq farmaane ke liye
by Kader Khan () 20 Apne mooh ki kamaan se shabdon ke tootte huye teer mat choda kar
by Anupam Kher () 21 Hum taaliyan sun sakte hai ... magar gaaliyan nahi sun sakte hai
by Kader Khan () 22 Saale buzdili ki gaud mein pale geedad ki sauteli aulad
by Anupam Kher ()