1 Anjaam unka wahi hoga joh tu chahta hai ... lekin hoga vaise jaise hum chahte hai by Pran ()
2 Awaaz toh teri ek din main neechi karoonga ... sher ki tarah garajne waala ... billi ki zabaan bolega by Pran ()
3 Apne guroor ko zinda rakhne ke liye ... hamari masoom mohabbat par apni dushmani ka aaisa koi kila mat bandiye ... jiski buniyaad aapko khoon ki nadiyon par rakhni padhe by Salman Khan ()
4 Ek baar aasman se giri hui bijliyan vapas laut sakti hai ... toofan apna rukh badal sakta hai ... lekin is Sher Khan ka faisla kabhi nahi badal sakta by Danny Denzongpa ()
5 Ek pahaad ka naam hai Sher Khan ... aur pahaad na kisi ke samne chalkar jaate hai ... na kisi ke samne jhukte hai by Danny Denzongpa ()
6 Joh khoon peena jaante hai ... woh aasoon bhi pee jaate hai by Danny Denzongpa ()
7 Hamare dil mein chupe nafrat ke angaaron aur hawa na de ... varna tu is aag mein jalkar raakh ho jayega by Pran ()
8 Talwaron se khelne waale motiyon se khelne lage ... toh unki taqaton ko zung lag jaata hai by Danny Denzongpa ()
9 Sabse pehle apni akad aur apni zid ki jhadon ko aag laga ... varna dukhon ke aaise badal mandrayenge ... ke is ghar mein aasoonyon ke sailaab aa jayenge by Danny Denzongpa ()
10 Jab hamari tarah pachpan ke ho jaoge ... toh aaisa bachpan ka sawaal nahi karoge by Pran ()
11 Beti ke rishtey kaanch ka khilona nahi hote ... jinse dil bahel gaya aur todkar ghar ke bahar phek diya by Pran ()
12 Duniya hum mein kehti hai Salman Khan ... hum aapko kis naam se pukarein meri jaan? by Salman Khan ()
13 Sher Khan woh heera hai, joh gale se lag jaaye toh haar hai ... aur gale se utar jaaye toh talwar hai by Danny Denzongpa ()
14 Jis tarah reghistaan mein pyasa, ek ek boond pani ke liye tadap tadapkar apna dum todhta hai ... ussi tarah Fateh Khan hamare inteqam se tadap tadapkar apni ek ek saans todega by Danny Denzongpa ()
16 Bandookon aur talwaaron se sirf insaanon ka khoon behta hai ... faisle nahi hote by Vijayendra Ghatge ()
17 Khoon bahane se rishtey tootte hai by Dina Pathak ()
more to explore
hapi: 0.0 (0)
is it popular:No
this page
code: mov618
bookmark:https://partystuff.in/movie/618
share:
this is for reference purpose only. do check for copyright. do check for accuracy. the data may not be accurate/correct, may not reflect latest data, may have typo errors. the validility may have changed over time, may not be useful anymore. the content is/are not exhaustive.