1 Tarikh par tarikh, tarikh par tarikh, tarikh par tarikh, tarikh par tarikh milti rahi hai ... lekin insaaf nahi mila my lord, insaaf nahi mila ... mili hai toh sirf yeh tarikh
by Sunny Deol () 2 Jab yeh dhai kilo ka haath kisi pe padta hai na ... toh aadmi uthta nahi ... utth jata hai
by Sunny Deol () 3 Waqt pe shaadi na karo ... toh aadmi bahek hi jaata hai
by Paresh Rawal () 4 Aaise khilone bazaar mein bahut bikte hai ... magar isse khelne ke liye joh jigar chahiye na ... woh duniya ke kisi bazaar mein nahi bikta ... mard usse lekar pehda hota hai
by Sunny Deol () 5 Maidan mein khule sher ka samna karoge ... tumhare mard hone ki galatphami door ho jayegi
by Sunny Deol () 6 Judge order order karta rahega ... aur tu pittaa rahega
by Sunny Deol () 7 Chilaao mat ... nahi toh yeh case yahin rafaa dafaa kar doonga ... na tarikh na sunwai, seedha insaaf woh bhi tabartop
by Sunny Deol () 8 Bijli ka woh jhatka lagega ... ki tu jhatakna bhool jayega
by Sunny Deol () 9 Jee karta hai ... tumhari har khwaish, har ichcha ko apna maqsad bana loon
by Rishi Kapoor () 10 Pyar toh woh vardaan hai ... joh kismat waalo ko milta hai
by Unknown () 11 Sach bolne se kabhi kisi ka nuksaan nahi hua hai ... aur na hi ho sakta hai
by Meenakshi Sheshadri () 12 Aaisi nass dabaonga ki cheenk nikal jayegi
by Amrish Puri () 13 Yeh adaalat hai, koi mandir ya dargah nahi jahan mannatein aur muraadein poori hoti hai ... yahan dhoop batti aur narayal nahi ... balki thos saboot aur gawah pesh kiye jaate hai
by Amrish Puri () 14 Kabhi kabhi barso saath rehne ke baad bhi koi rishta nahi banta, koi pehchaan nahi banti ... aur kabhi kabhi ek hi mulaqat mein aaisa lagta hai, jaise ki barso se jaante ho
by Rishi Kapoor () 15 Duniya ki har adaalat se badi ek adaalat hai ... woh hai insaan ka apna zameer
by Unknown ()