1 Mera farz is vardi ka mohtaj nahi hai ... yeh vardi toh mehaz ek mayaan hai jis mein main apne farz ki talwar mehfooz rakhta hoon
by Govinda () 2 Pati ek bank balance hota hai, ek tijori hota hai ... jis mein se paise nikaal nikaalkar gehne banwao, sareeyan khareedo, mauj karo mauj ... lekin unka dil rakhne ke liye kabhi unka sar dabao, kabhi unke pair dabao ... haala ki dil toh karta hai ki unka gala dabao, taaki jhanjhat hi khatam
by Aruna Irani () 3 Jis din kisi ghar ki deewaron ke kaan nikal aate hai ... us din us ghar ki buniyaad mein dimak lag jaati hai
by Pran () 4 Tum gareeb ki izzat cheen sakte ho ... uski kismat nahi
by Pran () 5 Shaadi karne ka sirf ek hi faiyda hai ... ki agar aadmi markar narak mein bhi jaaye ... toh lagta hai swarg mein aa gaya
by Pran ()