1 Vasuli mein hum rupaye nahi ... samne waale ke maathe par pasine ki boondein ginte hai
by Rekha () 2 Galatfahmi mein jeene waale ... asliyat mein mar jaate hai
by Rekha () 3 Hum hai maut ki woh express ... duniya jise kehti hai Madam X
by Rekha () 4 Humse dushmani modh lekar tumne zehareelay bichhoo ka dank apne shareer mein gaadh liya hai ... aur bichhoo ke dank se aadmi marta nahi hai ... zindagi bhar tadapta aur sisakta rehta hai ... tum bhi jab tak jeeoge tadapte aur sisakte hi rahoge
by Rekha () 5 Koi hum mein maarkar hamara anth kya karega ... mitne waale nahi hai hum, koi hamara khaatma kya karega ... zindagi ko apni qaid mein liye ghoomte hai hum ... koi zindagi se hum mein juda kya karega
by Rekha () 6 Main uske jism par itne zakhm kar doonga ... ki sirf zakhm hi zakhm nazar aayenge ... jism nahi
by Raza Murad () 7 Shikaar ke waqt sherni jis zameen par apne khunkhar panje rakhti hai ... us zameen ko bhi uske chalne ka ehsaas nahi hota ... ehsaas tab hota hai jab shikaar kiya hua khoon zameen par bikhar jaata hai
by Rekha () 8 Yeh kanoon ke woh baap hai joh apni duty ko apni gaud mein jhula jhulakar, usse pyari pyari lori sunakar sula dete hai ... aur aapke noton ka pankha banakar usse thandi thandi hawa dete hai
by Shakti Kapoor () 9 Kanoon hamari giraftari ka plan baad mein banata hai ... hum usse todne ke raaste pehle hi bana lete hai
by Rekha () 10 Hamari saanson ki awaaz sunkar toh maut ke farishtay bhi gabrakar bhaag jaate hai
by Rekha () 11 Hamare paas duniya par nazar rakhne waali itni aankhen hai ... jitni shayad aasman par sitaare bhi na ho
by Rekha () 12 Jab bhi hamare samne koi bewakoof akalmandi ka taj pehenne ki jurrat karta hai ... toh taj toh uske haathon mein hota hai magar pehenne ke liye uska sar nahi hota
by Rekha () 13 Yeh maut bhi kitni ajeeb cheez hai ... insaan usse mehsoos karte hi, zindagi ke aanchal mein chanchal balak ki tarah tadapne lagta hai
by Rekha () 14 Dimaag ki aankh se dekhne waale ... chehre ki aankhon ka bahut kam istamal karte hai
by Rekha () 15 Jis tarah yamraj ko sirf yamlok hi dekh sakta hai ... ussi tarah Madam X ki shakal bhi sirf uska apna samraj hi dekh sakta hai ... joh bhi hamari jhalak dekhne ki jurrat karta hai ... woh jalkar aaise dhuan ho jaata hai ki na zameen ko uski khaak milti hai, na hawaon ko uski raakh
by Rekha ()