1 Zindagi achche burre tajurbon ka silsila hai ... burre ko toh bhool jaana chahiye aur achche ko seene se lagake rakhna chahiye
by Achala Sachdev () 2 Tumko kya malum Shabnam guzarti kaisi hai meri raatein ... teri tasveer aankhon mein basaye bhatakta rehta hoon, karta hoon bas tumhari baatein ... tum shama ho Shabnam aur Manzoor parwana ... tumse lipatkar jalne ko tayaar hai deewana
by Sonali Bendre () 3 Jab mohabbat ki aag dahek uthti hai na toh woh mandir aur masjid ki taraf nahi dekhta hai ... un aankhon mein sirf dekhta hai jinhe woh pyar karta hai
by Akshaye Khanna () 4 Koi bhi baat agar zor zabardasti se manvayi jaye ... chahe woh mazhab ke baare mein ho, apne aqeeday, apne imaan ke baare mein ho ... ya phir apne usoolon ke baare mein ho ... uska asar zyada der nahi rehta aur nateeja tabahi hi hota hai
by Unknown () 5 Jahan jahan hum mohabbat karne waalon ka khoon girega ... hazaron deewane pehda honge
by Akshaye Khanna () 6 Dharam aadmi ko khuda se aur aadmi ko aadmi se jodhta hai
by Unknown () 7 Aag lagane ke liye sirf ek maachis ki teeli bahut hoti hai ... magar usse bhujane ke liye shehar ka saara pani bhi kam padh jaata hai
by Unknown ()