1 Joh khave maari dal, badal jave uki chaal ... main aaisi banao kadhi, haath mein lag jaye hathkadi ... joh khave maari roti, dhatke khele goti
by Manisha Koirala () 2 Hamare ek ishare par hawa bhi rukh badalti hai ... mere tinke bhikere joh, jahan mein kiski hasti hai
by Amitabh Bachchan () 3 Ram se bacha na Ravan, Krishna se bacha na Kans ... mujhse kya bachega Thakur, tu aur tera vansh
by Amitabh Bachchan () 4 Is baar maine tumhare khilaaf itne gawah ikhatte kar liye hai ... ki agar yamdoot bhi chahe toh bhi tumhara arrest warrant cancel nahi karva sakta
by Mukesh Rishi () 5 Yeh tumhari maut ki lakeer hai ... isse paar karne ki koshish ki toh tumhe duniya se paar kar doonga
by Amitabh Bachchan () 6 Aadhi aadhi chai peene se chahat badti hai ... chahat se dosti badti hai, dosti se pehchaan badti hai, pehchaan se naam badta hai, naam se kaam badta hai, kaam se daam badta hai aur daam se business badta hai
by Manisha Koirala () 7 Tumhari baadshah banne ki khwaish hai aaisi albeli ... jaise raja bhoj banne koi gangu teli
by Amitabh Bachchan () 8 Na takht hai na taj hai, dilon pe jiska raj hai ... zameen pe jiske paon, aasman pe nigah hai ... yeh sabka ladla hai, yeh Lal Baadshah hai
by Amitabh Bachchan () 9 Insaan ki zindagi ka sirf ek hi maqsad reh gaya hai ... daulat, daulat aur daulat
by Prem Chopra () 10 Jab jab hota hai zulmon ka haadsa ... tab tab janam leta hai Lal Baadshah
by Unknown ()