1 Koi kahe jheel, koi kahe jharna, koi dilruba tujhko ... main bekhauf keh deta hoon, husn ka khuda tujhko
by Akshay Kumar () 2 Khudai bhi jhukti hai mere yaar ke samne ... koi tik nahi sakta mere pyar ke samne
by Sunil Shetty () 3 Jab sooch mein ek peedhi ka antar aa jaye ... toh dono ko apne raaste alag alag kar lene chahiye
by Akshay Kumar () 4 Is tarah pyar ka izhaar nahi hota ... joh do kadam saath chale woh yaar nahi hota ... pyar karne waale kaaton pe chalte hai ... joh aa jaye sholay toh sholon mein jalte hai ... kyun tujhe mere pyar par aitbaar nahi hota ... agar dilon mein sacha pyar nahi hota ... toh yeh duniya nahi hoti, yeh sansar nahi hota
by Akshay Kumar () 5 Sukh baatne se badhta hai ... dukh apnane se, dukh kam hota hai
by Akshay Kumar () 6 Zindagi aur kuch nahi sirf ek rishtaa hai ... joh in rishton ko todh deta hai, woh apno tak ko kho deta hai ... aur joh in rishton ko nibha leta hai, insaan toh kya bhagwan ko bhi paa leta hai
by Amitabh Bachchan () 7 Hamare bandhan ke samne maine maatha teka hai ... ghutne nahi teke hai
by Juhi Chawla () 8 Jab tum mere paas nahi hote toh mera dil nahi lagta ... aur jab pass hote ho toh mera jee nahi bharta
by Juhi Chawla () 9 Teri aankhen hai jheel, jharno ka hai tujh mein jadoo ... bas ek nazar dekhkar tujhko, mera dil hota hai bekabu
by Sunil Shetty () 10 Businessman woh hota hai joh poori imaandari ke saath ... apne waqt, apne hunar, apni kaabiliyat ka sauda karne ke baad muhafza kamata hai
by Amitabh Bachchan () 11 Yeh ghar mera hai ... is ghar mein bole hue mere har alfaaz kanoon ke barabar hai
by Amitabh Bachchan () 12 Tum bhool gaye ki ninyaanve ki sankhya par ek aaisa saanp behta hai ... jiske kaatne se khiladi itne neeche gir jaata hai ... ke phir uske pass wapas upar uthne ki koi gunjaish nahi rehti
by Amitabh Bachchan () 13 Beta jab jawan ho jaata hai toh woh apne baap ke swabhiman ko ... abhiman samajhne lagta hai
by Amitabh Bachchan () 14 Ek kamyab businessman wahi hota hai ... jis mein faisla lene ki ek shamta ho
by Amitabh Bachchan () 15 Suna tha rishtey insaano ko ek doosre se jodhte hai ... lekin mere rishton ne toh mujhe bilkul hi todh kar rakh diya
by Amitabh Bachchan () 16 Aaj rishto ne mere haath baand diye ... varna kasam se tujhe khoon ke aasoon rulata
by Akshay Kumar () 17 Yeh baazi hum haar chuke hai ... lekin is jung mein jeet hamari hogi
by Ashish Vidyarthi () 18 Zameen par rhengne waala saanp toh insaano ko kabhi kabhi chhod deta hai ... lekin tum aasteen mein palne waale woh saanp ho ... jisne kisiko nahi bhaksha
by Amitabh Bachchan () 19 Oh meri jumma kitna tarsayegi de de chumma
by Shakti Kapoor () 20 Maine tum par vishvas kiya ... aur tumne ussi vishvas ki neev mein zehar dal diya
by Amitabh Bachchan () 21 Maalik ke ghar pe andhera karke ... kabhi kisi mazdoor ke ghar mein roshni nahi aa sakti
by Ashish Vidyarthi () 22 Tu meri Bobby hai, tu meri Noorie hai, tu meri Julie hai ... oh meri jaan tujh pe yeh dil kurbaan
by Shakti Kapoor () 23 Zindagi mein kuch rishtey aaise hote hai ... jahan insaan ko maaf karna padta hai
by Amitabh Bachchan () 24 Rishta todne waale sab kuch kho dete hai ... jodne waale hamesha aabad rehte hai
by Amitabh Bachchan () 25 Aye sangdil sanam, sahenge hum tera har sitam ... sanam teri kasam, hum dil de chuke sanam
by Shakti Kapoor () 26 Tere haathon ke kangan mein dil mera atka ... toot jayega zaalim agar degi isse jhatka
by Shakti Kapoor ()