dialogues for cast:
cast:
1 2
Joh aadmi apne naseeb ko kosta rehta hai ... uska naseeb bhi usko kosne lagte hai
Yaad mein nasha karta hoon aur nashe mein yaad karta hoon
Jis jagah ko dekh kar parmatma ki yaad aaye ... woh tirth kehlata hai ... aur jis aadmi ke darshan se parmatma mein bhakti jage ... woh Mahatma kehlata hai
Lagta hai aaj har ichcha poori hogi ... par mazaa dekho ... aaj koi ichcha hi nahi rahi
Na sukh hai, na dukh hai, na deen hai, na duniya, na insaan, na bhagwan ... sirf main hoon, main hoon, main hoon, main ... sirf main
Musibat aur zindagi ka kehte hai chitta tak ka saath rehta hai
Paise ki duniya badi matlabi duniya hai ... wahan har cheez, daya, maya, pyar, har cheez swaarth ke tarazu pe toli jaati hai
Woh jhooth sach se hazar gunah bada hai ... joh kisi dukhi ko shanti de, sukh pahunchaye
Woh sab kuch joh mujhe nahi kehna chahiye tha main tumse hamesha kehta raha ... ab jab kuch kehna chahta hoon toh kuch keh nahi pa raha hoon
Pyar ek jazbe ka naam hai joh insaan ke mann mein hota hai
Khoob parda hai ke chilman se lage baithe hai ... saaf chupte bhi nahi, samne aate bhi nahi
Joh insaan kamzori ka shikaar hoke gir jaye ... woh insaan, insaan nahi rehta
Hum dono ek doosre ke itna nazdeek hote huye bhi, kitni door hai ... shayad issi ko naseeb kehte hai
Aapse bichad raha hoon iska mujhe bada dukh hai ... lekin is haseen dukh ki wajah se, ab zindagi se pyar ho jayega
Tera milna khushi ki baat sahi ... tujhse milkar udaas rehta hoon
Joota khane ke baad garam chai penicillin ka kaam deti hai
Har khel mein ek ki jeet aur doosre ki haar hoti hai
Mera daata mujhpar meherban hai ... mere mooh mein chandi ki zabaan hai ... mere haath mein sone ki kamaan hai ... joh bhi mere aage aayega ... muft mein joote khake jayega
Zindagi ke do hisse hote hai ... ek sawal doosra jawab
Aap goli chalwa sakti hai ... chala nahi sakti ... jaan khareed sakti hai ... le nahi sakti
Phansi aur tum mein ab utna hi faasla hai jitni ki yahan se kacheri door
Is duniya mein paisa nahi toh kuch nahi ... baap ki shafqat paisa, maa ki mamta paisa, aurat ka pyar paisa ... paisa, paisa, paisa
Motor ameeron ki naukar hoti hai ... taxi gareebon ki ann daata
1 2
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
