dialogues for cast:
cast:
Hamari aadatein bhi toh harami hai
Rishwat khao aur rishwat khilao
Humne dekhe hai bahut baatein banane waale ... baatein waale toh janaab kaam kidhar karte hai ... woh joh dekhe hi nahi toofan uthate sagar ... woh kya khaak samundar mein safar karte hai
Tujhe main itne dino tak bandh rakhunga saale ... jab tak tu chakki pees-peeskar sarkar ke liye itna paisa kama le ... ki sarkar ka jail banane ka karcha vasool ho jaye
Joh insaan jurm ke khilaaf awaaz uthata hai ... usko duniya baaghi hi kehti hai
Paap se dharti phati, adharm se aasmaan, atyachaar se kaanpi insaaniyat, raj kar rahe haivaan ... jinki hogi taqat apoorv, jinka hoga nishana abhed, joh karenge inka sarvanaash ... woh kehlayenge Tridev!
Pagalpan bahut khatarnak bimari hoti hai ... jisse ho jaye uske liye bhi aur auron ke liye bhi
Beete dino ki yaad ka sahara toh tab liya jaata hai ... jab sirf yaadein hi reh gayi ho
Pati patni saath rehte rehte ek doosre ko itni achchi tarah janne lag jaate hai ... ki ek doosre ke liye aaina ban jaate hai
Duniya mein agar kuch hai, toh woh paisa nahi, daulat nahi ... pyar hai, mohabbat hai
Insaan ko na kuch paane ki khushi honi chahiye aur na kuch khone ka gham
Main bola picture chalengi toh chalengi ... silver jubilee, house full ... main pass nahi kiya toh picture ka dabba gul
Apna joru na jaata ... Allah miya se naata
Nakhoon joh uthaya toh khoon kar dega ... kadam joh badaya toh dum todh dega
Phatta poster ... nikla hero!
Yeh hai mere dost, khate nahi ghost ... naam ka Bhagwan hai, dil ka insaan hai ... is hi ki meharbaani se gadha pehalwan hai
Baat agar hadd se badh jaaye ... toh batangar bann jaati hai
Jis din mujhe thoos saboot mil gaya ... tumhari zindagi ka aakhri panna main likhonga
Hafta lete lete police waalon ki ungliyan itni ghis gayi hai ... ki unmein na hathkadi lagane ki taqat hai aur na trigger dabane ki
Maine cheer haran ka idea drop kar diya hai
Aaine ke paas toh kuch bhi nahi ... meri aankhon mein teri tasveer hai
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye ... bus ek baar mera kaha maan lijiye ... is anjuman mein aapko aana hai baar baar ... deewar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
