dialogues for cast:
cast:
1 2
Hasne waalo ko kabhi kabhi rona bhi padta hai
Zinda rehne ke liye sirf teen cheezein zaroori hai ... hansi, khushi aur phool
Insaan gir sakta hai, usool jhuk sakta hai, aur khandan tabah ho sakte hai ... lekin mohabbat karne waale dil na jhuke hai ... aur na kabhi jhuk sakte hai
Mohabbat mein kabhi aisi bhi halat paayi jaati hai ... tabiyat aur ghabrati hai jab behlayi jaati hai
Jab pyar kisise hota hai toh dil ki uljhane aur bhi badh jaati hai
Zindagi hazaron karvatein badalti hai ... aur ek din aapki zindagi ek aaisi karvat badlegi ... jiski lapet mein aakar aap apna tamaam business bhool jayenge
Kahan hai woh ladki jiske daaman mein mooh chupakar insaan sari duniya ko bhool sake ... kahan hai woh ladki jise dekhkar mann bol uthe, is paar yeh madhu hai, tum ho, us paar na jaane kya hoga ... kahan hai woh ladki jise dekhte hi yeh mehsoos ho, ki jise main janam janam se dhoond raha hoon woh yahi hai ... kahan hai woh ladki jiske baare mein Tagore ne kaha tha, teri neeli aankhen ek gehri jheel ki tarah hai, jee chahta hai main un mein doob doob jaon ... kahan hai woh ladki joh mere saath sagar ki machalti lehron mein kood padegi, kahan hai woh ladki joh mere saath jayegi
Bholi bhali shakal waale hote hai jallad se ... bewafaaon se pyar kaun kare, husn ka aitbaar kaun kare
Jis insaan ko maa ki mamta naseeb nahi hui ... us jaisa koi badnaseeb nahi
Marzi ho toh sooli par chadana ya rab ... sau baar jahannam mein jalana ya rab ... lekin mashooq kahen aap hamare hai buzurg ... na cheez ko yeh din na dikhana ya rab
Achcha dost aur achcha pati ... kismat waalon ko hi milta hai
1 2
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
