dialogues for cast:
cast:
1 2
Aaisa diya aashirwad, ki teri chokri ka ghar ho gaya aabaad ... aur tera sadaa ke liye barbaad
Talwar ki ladai talwar se, pyar ki ladai pyar se, aur bekaar ki ladai sarkar se
Pyar mein woh gehrai hai ... jiske samne samundar bhi qatra malum hota hai ... pyar karne waalon ka dil itna bada hota hai ... ki sari kainath bhi uske samne zharra malum hoti hai
Agar nazarein khoobsurat ho ... toh har cheez khoobsurat lagti hai
Izzat woh daulat hai ... joh ek baar chali gayi toh phir kabhi haasil nahi ki ja sakti
Ab aisa lagta hai jaise main koi aadmi nahi, ek laawaris deewar hoon ... jis par har aane jaane waala thook deta hai, gaali likh deta hai
Agar kisi ki beti ki izzat ek baar lut jaye ... toh duniya ki sari daulat usse vapas nahi la sakti
Hindu Muslim Sikh Isai ... sabhi toh hai bhai bhai
Naukri sirf zaroorat ke liye nahi ki jaati ... ichha aur shaunk bhi karan ho sakte hai
Aapki sampati hai dhan daulat, jisse aapne doosron ki mehnat se jama kiya hai ... meri sampati hai ilm, jisse maine apni mehnat se jama kiya hai ... aur hamesha karta rahunga
Main kisi bhi aise pedh ki chaaya mein nahi reh sakta ... jiski chaaya mujhe dhoop se door rakhne ki bajaye, ujaale se door rakhe
Zindagi jeene ki woh ichha hai ... jis mein aane wal kal ko sudhaarne ki shakti hai ... aur guzre huye kal se muqabla karne ki himmat
Main tujhe aaisi maut maroonga ... joh maut kisi dushman ne kisi dushman ko bhi na di hogi
Jiska mann saaf hota hai ... uski nazar bhi saaf hoti hai
Jabbar Singh ne sirf do hi baatein seekhi hai ... ek mauke ka fayda uthana ... aur apne dushman ka naam aur nishaan mitta dena
Is waqt meri maa, mera dharam, mera bhagwan ... joh kuch hai paisa hai
1 2
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
