dialogues for cast:
cast:
Aaisi nass dabaonga ki cheenk nikal jayegi
Thappad tumhare mooh par pada hai ... aur nishaan mere gaal par chhape hai
Ajgar apne shikaar ko das kar nahi maarta ... balki usse apne lapet mein jakadkar uski haddiyon ke tukde tukde kar deta hai ... aur uski saanson ka gubaar nikal deta hai
Aaj hoga mere aakhri dushman ka khaatma ... aur phir kehlaunga main is duniya ka vishwatma
Ajgar kisse, kab aur kahan nighal jaata hai ... yeh toh marne waale ko bhi pata nahin chalta
Dong kabhi wrong nahi hota!
Yeh daulat bhi kya cheez hai ... jiske pass jitni bhi aati hai ... kam hi lagti hai
Rasam nibhane ke liye havan mein ghee dalna hi padta hai ... lekin phir ussi aag se ghar bhi jalaya ja sakta hai
Duniya ki nazar mein mare hue log kabhi zinda nahi hote ... varna zindagi khud pareshaan ho jaati hai
Jisse main insaan ka bachcha samajhkar bees saal tak palta raha ... woh aasteen ka saanp nikla
Apni kisi pyari cheez par jab chot ka nishaan lagta hai ... toh dil mein dard jaag uthta hai
Tune mere khoon ke cheente udhaye hai ... main teri dajjiyan udha doonga
Jahan meri awaaz pahunch sakti hai ... wahan meri goli bhi pahunch sakti hai
Jawani mein aksar break fail ho jaya karti hai
Isse toh aaise zakhm do joh kabhi na bhare ... aur yeh zindagi bhar apni hi laash ko apne kandhon par uthaye tadpata rahe
Main fauladi shaitan ki madad se sultan toh kya ... sari duniya par fateh hasil kar sakta hoon ... shaitan zindabad, shaitan zindabad
Upar waale ne yeh dil patthar ka banaya hai ... isse shock toh lag sakta hai, lekin kabhi stop nahi ho sakta
Naye jooton ki tarah shuru mein naye naye afsar bhi kaatte hai
Ek baap das bachche paida kar sakta hai ... lekin das bachche milkar ek baap nahi bana sakte
Joh zindagi mujhse takrati hai ... woh sisak-sisakar dum todhti hai
Talwar kitni bhi tezz ho ... lekin apne mayaan ko kabhi nahi kaatti
Hum mein logo ko is hadh tak darrana hai ... ki unhe apni zindagi ka har din aakhri din lage
Apne aasoon sukh jaye toh aadmi doosron ke aasoon pochne chala jata hai
Police ka kaam hai kauwon ki tarah choch marna ... aur hamara kaam hai unhe bajra dalkar gumrah karna
Sooraj dhalne se pehle tumhare kadamon ke nishaan is gaon ki mitti se mitt jaane chahiye ... varna tum mitta diye jaoge
Gareeb ka muqaddar us par reham karne se nahi ... balki us mein zimmedari pehda karne se badla jaata hai
Hamara rasta kaatne waali koi bhi billi ... zinda nahi rehti
Kal hum Holi khelenge ... lekin is Holi mein gulaal ki bajai dhuna udhega ... pichkariyon mein se rang nahi, bandookon mein se goliyan niklengi ... geeton ki jagah cheekein ... aur laaj ki jagah laashein tadapengi
Galati ek baar hoti hai, do baar hoti hai ... lekin teesri baar iraada hota hai
Budhapa jab jawani ka intezaar karta hai ... toh bahut intezaar karta hai
Tip baad mein dena toh ek rivaaz hai ... pehle dena achchi service ki guarantee hai
Jis din main koi gori titli dekh leta hoon na ... mere khoon mein sehkado kaale kutte ek saath bhaukne lagte hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
