dialogues for cast:
cast:
Kya garmi hai inke pyar mein ... undon mein se bachche nikal aaye
Aashirwad toh main usse aaisa doonga ... ki mera aashirwad uske liye hi nahi ... balki uske khandan ke liye abhishap banke reh jayega
Shaadi ho yah barbadi ... phool toh har jagah lagte hai
Awaaz aur suron ka mazaa tabhi aata hai ... jab geet ke bol achche ho
Kaunsa kasoor hai mera ... jiski sazaa tu usse de raha hai aur hisaab meri kitaab mein likha ja raha hai
Ek pati jab apni patni se nazaren churane lagta hai ... toh aurat samajh jaati hai ki uski grahasti ki buniyaad ko deemak lag chuka hai
Jab kisi saaz ka dil tootta hai ... toh dard ki teez bahut der tak uthti hai
Sharifon ka libaaz pehenne se ... awargi sharafat nahi ban jaati
Jab jab dharm ki haani aur adharm ki vriddhi hoti hai ... tab tab swayam Sri Krishna ji kisi bhi roop mein aakar ... dushton ka naash aur sajjanon ki rashka karte hai
America ki police ko khoon hone ke do ghante ke paschat pata chalta hai ... aur Roos ki police ko sadhe-teen ke paschat ... aur Cheen ki police ko che ghante ke pashcat ... magar hamari police ko khoon hone ke chaubees ghante pehle pata hota hai ki ... kab, kahan, kis vyakti ka khoon hone waala hai ... aur kaunsa manushya is shubh kaarya ko sampan karne waala hai
Jab koi ladki jala di jaati hai us waqt mera mann karta hai ki ... is samaaj ko purane akhbaar ki tarah raddi ki tokri mein daal doon
Gawahi na kisi ke haq mein hoti hai na kisi ke khilaaf ... gawahi toh gawahi hoti hai
Beti toh baap ki jhuki hui gardan ka ek aur naam hai
Pyar karne waalon ke tarane goonjte rahenge ... aur mitt jayenge pyar ko mittane waale
Agar prem ka anth hinsa karti hai ... toh hinsa ka vinash bhi sirf prem hi kar sakta hai
Dil mein jab dard zyada bhad jaata hai ... insaan kabhi kabhi us hi mein doobkar marr jaata hai
Falak ke teer ka kya dekh nishana tha, udhar thi bijli idhar mera aashiana tha ... pahunch rahi thi kinare pe kashti-e-umeed, us hi waqt is toofan ko bhi aana tha
Ek mujrim ke liye kanoon waale ke dil mein kabhi pyar paida nahi ho sakta
Kis par haath utha rahi hai tu? ... jiske baap ke ek telephone par jail ke darwaaze khul jaate hai aur ek ishaare par adalat ke faisle badal jaate hai
Tera anjaam bahut hi bhayanak aur dardnak hoga
Har khoobsurat cheez kamzor hoti hai
Baap se nazaren milaoge ... toh andhe ho jaoge
Joh janta ko pair ki jooti samajhta hai ... woh ek din zaroor janta ke joote khata hai
Arre kahan shaitan ke ghar mein Satyanarayan ki puja rakhne ki baat kar raha hai yeh
Aurat ki izzat par agar ek baar daag lag jaye ... toh woh kabhi nahi dhul sakta hai
Tum angoor ke woh guchhe ho jinse sharab nichodi ja chuki hai ... aur Ruksana ek paka hua anaar hai jiska ek ek dana hum choos choos kar khayenge
Josh mein mat aao varna hosh kho baithoge
Aurat ke husn ka nishana kabhi khali nahi jaata
Zameen kisaan ki maa hoti hai
Ek shaheed ki patni kabhi vidhva nahi hoti ... sada suhagan rehti hai
Kahi apne begaane ho jaate hai ... aur kahi begaane apne ho jaate hai
Insaano mein kuch log zehreelay saanpo se bhi zyada khatarnak hote hai ... aur kuch log devtaon se bhi zyada mann ke sachche aur achche
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
