dialogues for cast:
cast:
Is duniya mein koi kisi ka dost nahi hai ... sab paison ke dost hai
Teri zabaan se shadb nahi ... tere zakhm tapak rahe hai ... teri aankhon se aasoon nahi ... inhi zakhmon ka khoon beh raha hai
Aag se aadmi tabhi bach sakta hai jab woh khud aag ban jaaye
Neta logon ki aadat hi hai ... jab soote hai toh soote rehte hai ... aur jab jagenge toh cheenkhne chilaane lagte hai
Likhta hoon khat khoon se, shahi na samajhna ... yeh rang hai chahat ka, tabahi na samajhna
Haraam ki kamai ke hazaron lakhon rupaye se ... us ek rupaye mein zyada barkat hoti hai joh halaal ki kamai ka hota hai
Tawaif ka muqaddar ... kothe se shuru hokar kothe pe hi khatam hota hai
Kabhi kabhi aaise insaan bhi janam lete hai ... joh apna naam apni yaad tareekh mein nahi ... logon ke dilon mein mehfooz kar jaate hai
Dushman chahe chota ho ya bada ... usse nadaan na samajhna
Jai Maa Durga, pakad ke laya hoon murga ... jaldi se isko kaato aur maal apas mein baanto
Unke dekhe se joh aati hai chehre pe raunak ... woh samajhte hai beemar ka haal achcha hai
Ek aurat apne pati ki gareebi mein khush reh sakti hai ... uske aeb seh sakti hai ... lekin uski kayarta nahi seh sakti
Calendar khana lao! ... Calendar khana lao!
Sher jab ek baar khoon chak leta hai ... toh adamkhor ho jaata hai
Sach kabhi kabhi khoobsurat rishton ko todh deta hai
Mohabbat kudrat ka shabab hai ... khuda ka noor hai
Dil woh aaina hai jiski keemat tootne ke baad badhti hai
Gham ki aandhiyon se mohabbat ke chirag nahi bhujte
Badkismati aur khushkismati mein bahut kam faasla hai ... dono ke palatne mein der nahi lagti
Achchai aur burai matlabi hoti hai ... matlab nikal gaya, toh aadmi achcha lagta hai ... aur agar matlab na nikla, toh wohi aadmi bura
Mohabbat karne waalon ka dukh sirf mohabbat karne waale hi samajh sakte hai
Ladki kitni bhi modern ho ... saree pehne toh sharma hi jaati hai
Woh nahi koi aur sahi ... koi aur nahi koi aur sahi
Asli sazaa toh woh hoti hai ... joh gunahgar zindagi bhar bhugatta rahe
Maike se aaja biwi, teri yaad mein ho gayi TB ... main kheer samajhkar kha loonga, teri jooti bhi teri gaali bhi
Shraddha sirf bhagwan par rakhi ja sakti hai, yeh tumse kisne kaha bete? ... woh toh apne mann ki bhavna hai ... shraddha toh apni maa, baap, desh, apne log, apna kaam, kisi par bhi rakhi ja sakti hai ... yeh wohi shraddha hai joh har insaan ko burre kaam karne se rokti hai ... achche kaam karvane par majboor karti hai ... jis din yeh shraddha nasht hui mann se ... hum janwaron se zyada kuch nahi rahenge
Bikke huye logon ki zindagi aur maut ... khareedne waalon ke haathon mein hoti hai
Jab suraj sar par hota hai ... toh parchayi bhi saath hoti hai
Hum mein ek misaal kayam karni hogi ... jis mein ek insaan ka dukh saare shehar ka dukh ban jaye ... chot padosi ko lage toh dard saare mohalle ko ho ... aur woh mohalla saara Hindustan ho
Yeh kaisa zamana hai ... har shaksh begana hai ... har aankh pe parda hai ... har honth pe taala hai ... par aaise zamane mein koi toh maseeh hoga ... khudgarz nahi hoga, bedard nahi hoga ... zulmon ke khilaaf apni awaaz uthayega ... woh shaksh yahin hoga, woh shaksh yahin hoga
Jiske seene mein doosro ke liye dard hota hai ... asal mein wahi mard hota hai
Har manzil ek naye safar ki shuruvat hoti hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
