dialogues for cast:
cast:
Aye jawaano zindagi resham bhi hai talwar bhi ... muskurata phool bhi hai aur khatakta haar bhi ... chaand suraj ki tarah yeh garam bhi hai sard bhi ... apni aankhon ka hai aasoon doosro ka dard bhi ... raaste mein aman ki mashaal jalane ke liye ... hum toh jeete hai watan ke kaam aane ke liye
Vishvas, dharam, sanskar ke mamle hi badhe nazuk hote hai ... insaan ki bhavnaon se khelna koi mazaak nahi hai
Kangi ko narangi kahein ... bane dhoodh ko khoya ... chalti ko gaadi kahein ... dekh Kabira roya
Jisne tan diya usne dhan nahi diya
Insaan mar sakta hai ... karza nahi mar sakta
Aankh jhukakar baithne waale, aankh uthakar dekh zara ... hum bhi hai tere chahne waale, teer chalakar dekh zara
Kabhi tera dar, kabhi darbadar, kabhi arsh par, kabhi farsh par ... arre gham-e-aashiqui tera shukriya, main kahan kahan se guzar gaya
Adalat sachai ki jaanch partaal karti hai ... wahan dilon ki gawaiyan pesh nahi hoti
Surma jab tak kheecha nahi jaata aankhon mein jagah nahi paata
Jeevan ke mele mein joh haath pakadkar nahi chalte ... woh aksar kho jaaya karte hai
Zindagi ek khoobsurat khilona hai ... isse darna nahi, khelna seekho
Lehron se darne waale kinare reh jaate hai ... aur sagar mein faandne waale moti le aate hai
Nadan dost se samajhdar dushman achcha hota hai
Yeh Bambai hai mere bhai Bambai ... yahan buildinge banti hai cement ki aur insaanon ke dil patthar ke
Mumbai ko koi nahi khareed sakta ... Mumbai sabko khareed leti hai aur apna kaam nikaalkar kisi raddi waale ki dukaan mein phek deti hai
Yeh Bambai hai mere bhai Bambai ... yahan sach bolkar pet bharne ka raasta dhoondne se nahi milta ... aur jhoot bolkar paise banane ke raaste hai 420
Yeh Bambai hai mere bhai Bambai ... yahan doosro ko girta dekhkar sab haste hai ... magar jab khud girte hai toh hasna bhool jaate hai
Tum ruki kya dil hamara ruk gaya ... gham ke maare aasman bhi jhuk gaya
Joh juae ki baazi haarta hai ... woh hi mohabbat ki baazi jeetta hai
Joh mohabbat ki baazi haarta hai ... woh juae ki baazi jeetta hai
Naalon se mere kab taho bala jahan nahi ... kab aasman zameen, zameen aasman nahi ... kehta hoon mooh se kuch main nikalta hai mooh se kuch ... kehne ko yun toh hai yeh zubaan, par zubaan nahi
Nahi ishq mein iska toh ranj hum mein, ke qarar-o-shakeb zara na raha ... gham-e-ishq toh apna rafeeq raha, koi aur bala se raha na raha ... na thi haal ki jab hum mein apni khabar, rahe dekhte auron ke aeb-o-hunar ... padi apni buraiyon pe joh nazar, toh nigaah mein koi bura na raha ... zafar aadmi usko na jaaniyega, ho woh kaisa hi saheb-e-fehmozaka ... jisse aaish mein yaadein khuda na rahi, jisse taish mein khauf-e-khuda na raha
Mohabbat andhi hoti hai ... magar raasta dikhati hai
Asar usko zara nahi hota, ranj rahat fiza nahi hota ... tum mere paas hote ho goya, jab koi doosra nahi hota
Ab toh ghabra ke yeh kehte hai ki mar jayenge ... marke bhi chain na paya toh kidhar jayenge ... hum nahi woh joh karen unka daava tujhse ... balki poochega khuda bhi toh mukhar jayenge
Har insaan bhool karta hai ... aur joh bhool nahi karta uska naam hai bhagwan
Insaan aksar bewafa hote hai ... lekin kudrat bewafa nahi hoti
Hukumaten khandano se nahi usoolon se chalti hai
Mulkon ko fatah karne se pehle ... badshahon ko apne dil fatah karne padte hai
Zehereli nagin sabke liye zeher rakhti hai ... magar woh bhi apne naag ke liye pyar rakhti hai
Aag se aag thandi nahi hoti, pani se hoti hai ... andhere se andhera door nahi hota, ujaale se hota hai ... bhair, bhair se nahi mitta, prem se mitta hai
Sangeet hridhay se hridhay ka sambandhit hota hai ... atma ko ooncha uthata hai ... bhair ko prem mein badal deta hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
