Page 5 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for cast:

cast:
5 (of 5 pages) | 31 (of 159 items)
1 4 5
Is duniya mein insaan ki aukaat uski haisiyat uske paise se nahi ... balki uske karamon se pehchani jaati hai
Jis tarah parayi biwi apne ghar mein laane se apni nahi ho jaati na ... ussi tarah paraya music apne desh mein bajane se apna nahi ho jaata hai
Tu apno ka nahi, tere desh ka hi gaddar nahi ... balki gaddaron ka bhi gaddar hai ... aur tujh jaise gaddar ko zinda rehne ka koi haq nahi hai
Aaj kanoon ki chhat tumhare sar pe hai is liye tum apni zehareeli zubaan ki dank se hum mein dass rahe ho ... lekin beta jis din yeh chhat gir jayegi aur pata chalega ki yeh sirf tumhari chaal thi ... us din tumhari zubaan ko hum alakh se ukhadkar gandi naali mein phek denge
Insaan aur insaaniyat ka toh main paidahishi dushman hoon ... mera bas chale toh main insaaniyat ka khoon aaise nichhod loon ... jaise log kisi phal mein se uska ras nichhod lete hai
Khatron se khelna hamara business hai, hamara karobar hai ... hamare paas maut ki factory hai ... hum maut banate jaate hai aur society mein bechte jaate hai
Jis ghar sansar ki gaadi udhaar ke paiyon pe chalti hai ... woh subah shyam puncture hoti chali jaati hai
Daulat waalon ki duniya mein baimaani ka daakhla band hai ... baimaani agar aati hai toh noton ka naqab audkar imaandari ban jaati hai
Haath woh kalam hai joh aakash ke kagaz pe likhi hui taqdeer ko badal sakta hai
Is sansar mein bheek le lo magar udhaar kabhi mat lo ... kyun ki bheek leke aadmi ek baar zaleel hota hai ... magar udhaar maangke subah shyam zaleel hota hai
Kothe ki dehleez par aag hoti hai ... us par pair rakhte hi ladki ki izzat jal jaati hai ... aur woh izzatdar se tawaif ban jaati hai
by: Kader Khan
from: Tawaif (1985)
code:
Socho kuch, bolo kuch, dekho kuch, dikhao kuch, karo kuch ... ho jaye kuch ... samajh mein aaya kuch?
Bachche ka pet kharab hua toh usko julaab dena ... badhe ke dimaag kharab hua toh usko sharab dena
by: Kader Khan
from: Maqsad (1984)
code:
Tumhari jaan mere liye bahut keemti hai ... magar meri jaan mere liye, tumhari jaan se zyada keemti hai
Neta jab tak giraftar nahi hota usse naam nahi milta ... logon ki humdardiyan nahi milti
Mere haath kanoon se zyada lambe hai ... jahan mera haath ja sakta hai, wahan kanoon ka haath nahi ja sakta
Mujhse baimaani mat karna main bahut pahuncha hua aadmi hoon ... baimaani mein shaitan ko tuition deta hoon
Joh hamari baat nahi maanta ... main usse singh maarke Singapore bana deta hoon
Maalik, aapke charno ki lagi hui dhool ko mera namaskar
Yeh coat aur pant kya pehen liya, apne aap ko Rajkot samajh behte? ... humse uljhoge toh hum tumhe Pathankot bana denge yaad rakhna
Tumhari yeh baat sunkar mera dil Hyderabad ki tarah aabad ho gaya
Sab taqdeer ka khel hai ... yeh kabhi apno ke haathon rulati hai ... toh kabhi gairon ke haathon rulati hai
Jiski zaroorat ho usse gale laga lo ... aur jiski zaroorat nahi hai uska gala kaat dalo
Main jitni muddat tak jail mein rahoonga ... apne dil mein nafrat ka zehar ikhatta karta rahoonga ... aur jab jail se chootunga toh us zehar se tumhare poore khandan ko jalakar khaakh kar doonga
Is duniya mein izzat ki nahi, balki daulat ki zaroorat hoti hai ... aur daulat jiske paas hoti hai, izzat khud-ba-khud aakar uski chaukhat pe apna sar jhuka deti hai
Suraj raat ko nikal sakta hai ... farishtey jhooth bol sakte hai ... chaand aag barsa sakta hai ... magar Ranjit Kumar apne desh ko, apne kanoon ko dokha de ... yeh kabhi nahi ho sakta, kabhi nahi ho sakta
Bachche bado ko bhool jaaye par bade bachchon ko nahi bhoolte
Zindagi ka agar sahi lufz uthana hai na ... toh maut se khelo
Sukh toh bewafa hai ... chand dino ke liye aata hai aur chala jaata hai
Zinda hai woh log joh maut se takrate hai ... murdon se bhattar hai woh log joh maut se gabrate hai
Gundon ka mazhab gundagardi hota hai
1 4 5

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.