dialogues for cast:
cast:
Main sirf ek zubaan samajhta hoon ... Hindustani
Apni hi karni ka phal hai naiki aur ruswaiyan ... aap hi ke sang chalengi aap ki parchaiyan
Mujrim us saanp ki tarah hota hai joh bhook lagne par apne bachche tak nighal leta hai
Aap itne mohtaj nahi ki aaisi roti na kama sako ... joh imaandari ke aate se bani ho aur sachchai ki aanch par pakki ho
Paap ki umar bahut lambi hoti hai ... lekin paapi ki umar bahut choti
De shiva var mohe, shubh karman se kabhoo na hatton ... na daroon bairi sauh jab chahe ladoon, nishchay kar apni jeet karoon
Yahan koi aa nahi sakta ... aur agar aa jaye toh apni marzi se jaa nahi sakta
Baar baar vaar karoonga uspar aur har vaar mein usse til til maroonga
Tera kehar toh zehar bankar meri ragon mein daud raha hai ... jis din yeh lava phatega ... tera naam-o-nishaan tak mitta dega
Jinhe tum aasoon samajhkar pochna chahti ho ... woh aasoon nahi tezaab hai
Yeh teri khushkismati hai ke mere haath bandhe huye hai ... varna inhi haathon se tera kaleja nikalkar tere halak mein thoos deta
Jinki aankhon mein manzilon ke khwab hote hai ... woh shikast aur haar ki baatein nahi kiya karte
Joh shikaar khud chalkar sher ki gaar mein aata hai ... woh achchi tarah janta hai ki sher ke daant kaise todhe jaate hai
Joh ghar se kafan baandkar nikalte hai ... woh apna nahi dushman ka naam yaad rakhte hai
Shabdon ki talwar rishton ki woh dor kaat degi ... jise hum dono bandhe hai
Chhot dil par lagi thi aur dard ka sailaab ragon mein umad raha tha
Kaun hai woh jisne meri maa ke gale se mamta ka zevar utaarkar apne naam ka mangalsutra pehna diya ... kaun hai woh jiski lambi umar ke liye meri maa Karva Chauth ka vrat rakhti hai ... kaun hai woh joh meri maa ke dil mein mohabbat bankar aur mere dil mein nafrat bankar panap raha hai?
Aasoon peene se achcha hai aadmi sharab pee le
Khabardaar joh meri maa ke pair chuye kamine ... maa ke pairon tale swarg hota hai aur main tujhe in pairon ko chune ke kabil nahi samajhta
Mere lahoo ko bana diya hai teri dua ne ab toh aag ... apna doodh na bakshna tu, joh na laya tera suhaag
Waqt ne teri yadasht ko bhale hi khokla kar diya ho ... lekin tera diya hua har zakhm meri maa ke dil mein utna hi taza hai ... jitne mere daaman par mere baap ke aasoon
Yeh duniya hum mein milne nahi degi ... lekin main bhi ab is duniya ko jeene nahi doonga
Mohabbat mere dost, aag bhi lagati hai un dilon ko ... jin mein mohabbat ke chirag jalte hai
Mujhe aaina na dikhao, ismein koi pagal nazar aata hai ... yeh main nahin, ismein sara jahan nazar aata hai
Yeh aankhen, yeh chehra, yeh noor ... insaan ho ya pari ho tum
Hum mein toh apno ne loota, gairon mein kahan dum tha ... meri kishti thi doobi wahan, jahan pani kam tha
Len-den mein pehle baad mein nahi hota ... is haath le, us haath de
Yahan koi kisi ke liye kuch nahi chhodta ... sab kisi na kisi ko chhodkar aage badh jaate hai
Maut se woh log darte hai jinka zindagi se koi rishta ho ... mera toh sirf ek hi rishta hai ... jis se mujhe maut hi mila sakti hai
Yeh khoon gaur se dekh ... yeh khoon nahi tezaab hai tezaab ... zameen pe gira iska ek ek katra, ek jwalamukhi ko janam deta hai
Tu ek aaisa shaitaan hai jisse upar waale ne galati se insaan ki shakal mein neeche bhej diya ho
Yeh ek aam aadmi ka khoon hai ... yeh jab behta hai, toh achche achchon ki kundli palat deta hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
