dialogues for cast:
cast:
Bhuvan Panda gardan katwana pasand karta hai ... magar naak katwana asambhav
Mere liye Allah ka vardaan aur maata ka farmaan ... sab ek samaan hai
Jahan satya hai wahan dharm hai ... aur jahan dharm hai wahan dhan hai
Kisi mahaan aadmi ne kaha hai ke ... "Bade bade deshon mein aaisi choti choti baatein hoti rehti hai"
No news is always good news
Kisi mahaan aadmi ne kaha hai ... "Yeh aasoon saline water hai, Pushpa isse poch do"
Kisi mahaan aadmi ne kaha hai ... "Mujhe ek bachchi ko uski maa se milane se duniya ki koi sarhad, koi taqat nahi rok sakti"
Kisi mahaan aadmi ne kaha hai ... "Tumhe aam khane se matlab hai, ya gutliyan ginne se?"
Kisi mahaan aadmi ne kaha hai ... "Jako rakhe saiyan, maar sake na koi"
Kisi mahaan aadmi ne kaha hai ... "Bichadna nahi asaan, isliye goodbye na tum kehna ... jaana toh hai humse door sahi, par hai toh issi dil mein rehna"
Maal mil gaya toh meri awaaz tu dubara nahi sunega ... aur agar nahi mila toh koi teri awaaz dubara kabhi nahi sunega
Do hazar crore ka malik ho yah sadak par bhaukne waala kutta ... marne se pehle dono ki aankhon mein khauff ek sa hi nazar aata hai
Baar baar achcha banne ki koshish karta hoon main ... aur baar baar yeh duniya mujhe achche se bura bana deti hai
Jab tak insaan ke mann mein hamara darr hai ... tab tak hum usse ungliyon pe nacha sakte hai ... darr khatam toh hum khatam
Achcha bhi laga aur bura bhi ... achcha laga teri himmat dekh kar ... aur bura laga tera anjaam sooch kar
Joh farz ki sooli par tanga hota hai ... woh keel ke dard se nahi rota
Usse aaisi maut maroonga ki maut ki rooh bhi kaanp jayegi
Hum mein mooh khulwaane ke hazaron formule malum hai
Jaldi ka kaam shaitan ka hota hai
Main suraj ko bhi raat ko nikalne par majboor kar doonga
Yaad rakh, tere paas hamare khilaf proof hai ... magar tera ghar bulletproof nahi hai
CBI ka officer na baap hota hai, na bhai, na pati ... aur na kisika beta hota hai ... woh sirf apne duty se banda hota hai
Maine uske shaq ko shamshaan mein badal diya ... kyun ki Kaali ki adalat mein shaq ki daleel nahi ... maut ki sazaa sunai jaati hai
Izzat ke moti insaan ki aankhon ke samundar ka woh sailaab hota hai ... joh aasoon bankar tapakta hai
Is samaaj ke bhediye ne unki izzat ki kagaz par vasna ki kali syahi se balatkar ka ghinauna itihaas likh diya
Maa ka doodh toh har koi peeta hai ... lekin badi badnaseeb hoti hai woh maatayen joh tujh jaise sapole ko doodh pilati hai
Bebas mohabbat jab baghavat karti hai ... toh duniya ki koi bhi taqat usse rok nahi sakti ... chahe woh aag ka dariya ho ya toofan ka samundar
Khandan pe lage kalank pani se nahi ... khoon se dhoye jaate hai
Aurat par dhauns jamane waalon ko mard se panja nahi ladana chahiye ... varna haal behaal aur zindagi janjaal ban jaati hai
Mazloomo ka maseeha, dushmano ke liye phanda ... seena hai faulad ka, naam mera Govinda
Dushman jab humdard bankar aaye toh unki baaton se sachai nahi ... jhoot ki badbu aati hai
Vardi ko khel aur kanoon ko rakhail samajhne waalon ko ... Jwala maarta nahi, maar deta hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
