dialogues for cast:
cast:
Ek ladki ki aabroo sheeshay ki tarah nazuk hoti hai ... is par ek badnaami ka chota sa patthar bhi gir jaye ... toh tootkar chaknachur ho jaata hai
Insaan jab janam lene waala hota hai toh uske duniya mein aane ka paata pehle se hi chal jaata hai ... lekin maut ke aane ki khabar kisi ko nahi hoti
Politics aur underworld mein agar opposition na ho ... mazaa hi nahi aata
Dukh jab zindagi ka hissa ban jaye ... toh usse haskar gale laga lena chahiye
Mai ke doodh aur majboor insaan ke aasunyon mein milavat nahi hovat hai
Meri nazar mein teri haisiyat is paan ke barabar hai ... jisse jab chahun chabakar, tookh sakta hoon
Agar tu sudhar gaya toh isse fighting ka the end samajhna ... varna yeh interval hai ... agli mulaqat mein climax kar doonga
Aapko kahan kahan nahi dhoonda ... Japan ki jail mein, America ki rail mein, khatte meethe bhel mein, khopre ke tel mein ... samose mein dhoonda, alu mein dhoonda, pyaz mein dhoonda ... magar na mila baap ... mila ghaas mein chupa saanp
Zamane ki nazarein hai mere gunahon par ... kisi ko apna chehra bhi dikhai deta hai, nahi ... tum jahan hote ho wahan hote hai khoon aur laash ke saude ... phir bhi vardi par daag dikhai deta hai, nahi
Toofan mein toh hum khushi se jaate hai ... yun jhoomkar marte hai ki jee jaate hai ... tum toh woh ho jisse samundar kha jaata hai ... arre hum toh woh hai joh samundar ko pee jaate hai
Sar jiske aage na jhuke woh darwaza kisi aur ka hoga, mera nahi ... aur joh har darwaze pe jhuk jaye woh sar kisi aur ka hoga, hamara nahi
Ek baar joh apradhi ban jaata hai ... woh zindagi bhar apradhi hi rehta hai
Tum jaise dushman ko khatam karne ke liye ... hum maut se bhi zindagi udhaar maang laate hai
Apradhi chahe apna chehra hazar nakaabo mein kyun na chupa le ... lekin meri teesri aankh se bach nahi sakta
Manaa ki aap humse khafa hai ... magar phir bhi tasdeeqein wafa hai
Ghar aaye mehmaan ko salute dekar uski izzat karna hamare desh ki parampara hai ... aur dushman ke ghar mein ghuskar usse phoond dena hamari army ki shaan hai
Aaj ke yug mein sache insaan ki koi keemat nahi hai ... wafaadari ki koi keemat nahi hai ... imaandari ki koi keemat nahi hai
Aaj ke baad aane waala har pal ... tum dono ke dil ki dhadkan par hathoda bankar barsega
Tu toh us pagal kutte ki tarah bhaukne laga hai ... jisse pagal hone ke baad charon taraf se maut nazar aati hai
Maut ko aane ke liye patta nahi poochna parta
Aaj main tujhe aaisa tamasha dikhaonga ... ki duniya ke saare villian zulm karna bhool jayenge
Teri maut bankar aaya hoon ... teri laash girakar jaoonga
Yeh khoobsurat rishteydari ke peeche ... makkari aur chaalbazi ke sivah kuch nahi hota
Jiska saara shehar dushman ho ... usse dosti karne ka hum mein koi interest nahi
Maarkar lashein aaisi gandi jagah pehkoonga ... jahan janwar bhi marna pasand nahi karte
Glass mein sharab daalne waala bada nahi hota ... bada toh woh hota hai jiske glass mein sharab daali jaati hai
Bade bade khatarnako ki nak kaat kar apne jeb mein rakh li hai
Jab bhi mera khoon behta hai ... toh mujhe meri maa ke rone ki awaaz sunai deti hai ... aur joh maa ko rulata hai ... main usse nahi chhodta, chahe woh mard ho yah aurat
Desh ke dushman tera hoga mooh kaala ... aaj Bulla ka janaza hai uthne waala
Gundagiri ko khatam karne ke liye ... mujhe gunda banna padega
Jis tarah train ke aane par station kaapne lagta hain na ... ussi tarah mere khauf ka bhukaar, tum sab ko kaapne par majboor kar dega
Jab yeh kapda kafan bankar kisi ko lipat jata hai na ... tab usse dafan hona hi parta hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
