dialogues for cast:
cast:
Dhamki aur challenge toh darpok log dete hai
Joh santo ki baat na maane woh barso pachtaye ... jis jis raah se guzre tis tis joote khaye
Pyar mohabbat mein toh hum tan mann jaan lutaya ... dhokha de dai dost ko ab dekh Kabira aaya
Musalman ke yahan parvarish, Hinduon se dosti aur angrezon ke shaunk rahe hai mere
Karz chukane wale ki yaadash aksar kamzoor ho jati hai
Pyar mein toh budha bhi jawaan lagta hai ... ladki Shirin aur ladka Farhad lagta hai
Zulm ki tahani kabhi phalti nahi ... nav kagaz ki sada chalti nahi
Dard-e-dil ke vaaste pehda kiya insaan ko ... varna puja ke liye farishtey kam na the bhagwan ko
Kitni oonchi baat kahi hai aapne ... mann pavitra ho gaya
Zaalim ka zulm jaan le sakta hai ... lekin haq ki awaaz ko nahi daba sakta
Agar tum mere tukde tukde bhi kar doo ... phir bhi mera har tukda haq ki aawaaz dega
Jeevan ke saath itna prem na karo ... varna marte samay bahut dukh hoga
Bhagwan ki dharti bahut badi hai ... aur insaan ke kadam bahut chote
Ek baar mann ko saaf kar lo ... bar bar snaan nahi karna padega
Zulm karne waala bhi paapi ... aur zulm sehne waala bhi paapi
Insaan apni burai chhod sakta hai ... lekin insaan ki badnaami hamesha uske saath rehti hai
Jee chahta hai tujhe gande keede ki tarah masal doon ... magar main apne haath gande karna nahi chahta
Purani sharaab ki tarah ... purani dosti ka bhi ajeeb nasha hai
Bina mushkil mein padhe kamyabi milti bhi toh nahi ... mushkilen itni padhi mujhpar ki aasaan ho gayi
Kisi ki shab-e-vasl haste kate hai, kisi ki shab-e-hijr rote kate hai ... hamari yeh shab kaisi shab hai ki ya rab, na haste kate hai na rote kate hai
Mujhe aaj tak kisi ka khoon karne ki zaroorat hi nahin padi
Paise ka koi rang nahi, roop nahi ... koi dharam nahi, imaan nahi ... koi punya nahi, paap nahi
Sher Khan khud aaya tha khud chala jayega
Chillaaoo nahi sahab ... gala kharab ho jayega
Hum aaya tha karza lene ke liye ... par tumne Sher Khan ko khareed liya
Sher Khan kaale ka dhanda karta hai ... lekin imaandari se
Sher Khan aaj ka kaam kal par nahi chodta
Aaj zindagi mein pehli baar ... Sher Khan ki sher se takkar hui hai
Baarah junglee kutte milkar sher ko maar daalte hai
Is ilaaqe mein naye aaye ho sahab? ... varna Sher Khan ko kaun nahi jaanta
Sher Khan ne shaadi nahi ki toh kya hua ... lekin baaraatein bahut dekhi hai
Devta ki mahaan shakti apne bhakton ki hamesha raksha karti hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
