dialogues for cast:
cast:
Har dayaar mein aati hai phir bahaar ... khilte hai phool bhi wahan daur-e-fiza ke baad
Haste huye insaan ke saath saari duniya hasti hai ... lekin jab woh rota hai toh akela rota hai
Sui aur wagi lo aur pyar ke dhaage ... seeyo kapde pehenke jinko jadoo jism ka jaage
Meri nazar ne husn ka jadoo jaga diya ... tujhko sajaake aur bhi katil bana diya
Chandni aanchal mein bhar layi hai tu ... raat yeh chamki hai jab aayi hai tu
Doori kabhi palbhar ko gawara na karenge ... agar jee na sake saath toh hum saath marenge
Mohabbat ka tamasha ishq ki taseer dekhoge ... mere seene mein dil mein Heer ki tasveer dekhoge
Milke tanhai ka ehsaas usne doona kar diya ... dil kiya aabad kuch aaise, ki soona kar diya
Baarat mein halki si jhalak apni dikhake ... chhoda mujhe is husn ne deewana banake ... doori na hui dil ko kisi tarah gawara ... chhod aaya hamesha ke liye takht hazara
Usse kehna ke tum mera ek khwab ho, joh chamakta hai dil mein woh mahatab ho ... usse kehna ke gehuyon ke kheton ka rang, tilmilati hui titliyon ki umang ... usse kehna ke jharnon ka chanchal shabaab, ghat ki taazgi, aabroo-e-janab ... usse kehna ke jhoolon ki angdaiyan aur udhte dupatton ki shenaiyan ... usse kehna ki chakki ke geeton ki aag, ladkhadati jawaani, machalta suhaag ... usse kehna ke dulhanon ke kajal ki pyaas, pehle bhose ki garm aur thandi mithaas ... itni ranginiyon ko jab ikhja kiya, Heer kudrat ne tab tujhko pehda kiya
Sharmati hai kyun aaj meri baahon mein aake ... le jaonga ek din tujhe doli mein bithake
Tu jab aa jaati hai paas ... bhook mar jaati hai, jaag uthti hai pyaas
Layega mere dil ki tadap, koi kahan se ... sunna hai mera haal, sunno meri zabaan se
Tere zakhm meri tadap se harre hai ... meri aankh mein tere aasoon bhare hai
Tune sab paaya hai, aashiq ki nazar paayi nahi ... jabse dekha tujhko duniya ki taraf dekha nahi ... jabse chaha tujhko apni yaad bhi aayi nahi ... tukhjo paana zindagi hai, tujhko khona maut hai ... aur kuch iske sivah mere fasaane mein nahi ... maang loonga mein khuda se yah chura loonga tujhe ... tujhsa moti doosra uske khazane mein nahi
Basakar dilon ko mittati hai duniya ... hasakar hamesha rulati hai duniya
Shahi talwarein mohabbat ki gardan par chalti rahi hai ... lekin mohabbat ka naam hamesha roshan hota raha hai
Insaan insaan ko maaf kar deta hai ... kabhi kabhi bhagwan bhi insaan ko maaf kar deta hai ... magar insaan ki bhool usse kabhi maaf nahi karti ... saza dekar hi chhodti hai
Yeh bachchon ke khelne ki cheez nahi ... haath kat jaye toh khoon nikal aata hai
Jinke apne ghar sheeshay ke hoon ... woh doosron par patthar nahi phenka karte
Pistol haath mein le lena aasan hai ... lekin chalana aasan nahi
Insaan patthar ki chot seh sakta hai ... lekin yeh buri nazar ke vaar se bachna bahut mushkil hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
