Page 3 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for cast:

cast:
3 (of 4 pages) | 32 (of 118 items)
1 2 3 4
Is duniya ke tum pehle aur aakhri badnaseeb kamine hoge ... jiski na toh arthi uthegi aur na kisi kandhe ka sahara ... seedhi chitta jalegi
Seva, adarsh aur desh bhakti ki bhavna agar kitaabon mein hi bandh rahi ... toh phir hamare desh ki hasti bhi duniya ke kagazi naksho mein reh jayegi
Dushmani aur dosti agar ghaadi na ho ... toh us mein koi rang nahin aata
Yeh toh sher ki guffa hai ... yahan agar tumne karvat bhi li toh samjho maut ko bulava diya
Bazaar ke kisi sadak chaap darzi ko bulakar apne kafan ka maap de do
Badle ki aag woh pyas hai joh kisi doosre ke peene se nahi bhujti ... aur toofan ko kisi aur sahare ki zaroorat nahi padhti
Telephone uthakar khamosh rehna mardo ka kaam nahi hai
Rana ki maut itni choti nahi ... joh tumhari mutthi mein ho
Hum tumhe aisi maut maarenge ... tumhari aane waali nasalon ki neend bhi uss maut ke khauf se udh jayegi
Dada toh is duniya mein sirf do hain ... ek upar waala aur doosre hum
Bootiyan nochne waala geedar ... gala phadne se sher nahin ban jaata
Hum kutton se baat nahin karte!
Aapke liye main zehar ko dhood ki tarah pee sakta hoon ... lekin apne khoon mein aapke liye dushmani ke keeday nahi paal sakta
Ek sacha musalman wafaa ke naam par jaan tak kurbaan kar deta hai ... magar gaddari ka taj pehenkar jee nahi sakta ... chahe us mein Kohinoor ka heera hi kyun na jada ho
Talwar woh hathyar hai joh dost ke haath mein ho toh usse badkar koi dost nahi ... aur agar yahi talwar dushman ke haath lag jaye toh usse bura koi dushman nahi
Meri nazar mein paida hona toh ittefaq hai ... lekin jeena ittefaq nahi
Iraada paida karo, iraada ... iraade se asmaan ka chaand bhi insaan ke kadmo mein sajda karta hai
Insaaf toh ek chamakta hua suraj hai ... joh aankh dekhle toh savera ... joh na dekhe toh andhera
Hukum leta nahin, professor hukum deta hai
Paise ka lalach insaan ki akal mein daraare daal deta hai ... aur woh tumhari tarah, apni kismat khud jala bethta hai
Agar ab bhi tum na badal sake ... toh tumhare liye mujhe badalna padega
Waqt ki pabandi aadhi kamyabi hai ... aur baki lagan, shauk aur iraade se milti hai
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle ... khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai?
Humko mitta sake yeh zamane mein dum nahin ... humse zamana khud hain ... zamane se hum nahin
Jab sar par burre din mandraate hai ... toh zabaan lambi ho jaati hai
Is duniya mein kabhi kabhi insaan itna majboor ho jaata hai ... sivah iske ke woh apne aapko kismat ke havale karde ... aur kuch nahi kar sakta
Hindustan ke bahar bhi zameen ke jis tukde par meri raakh bhikregi ... woh zameen hamesha ke liye Hindustan ho jayegi
Is jawaan ki kasam ... jawab dene aaunga, Hindustan ki kasam
Is ghar ke insaanon ko har saans ke baad doosre saans ke liye bhi ... aapse izaazat leni padti hai
Afsoos, ki log doodh se bhi jal jaate hai
Aapke paon dekhe, bahut haseen hai ... inhe zameen par mat utaariega ... mailay ho jayenge
Main joh chahta hoon woh paata nahi ... aur joh paata hoon woh sirf ek ittefaq hai
by: Raaj Kumar
from: Maryada (1971)
code:
1 2 3 4

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.