dialogues for cast:
cast:
Jabse is raaste pe kadam rakha hai na ... tabse kafan saath leke ghoomta hoon main
Janta hai tu ki danger naam hai mera ... aur main janta hoon ki kya kaam hai tera
Pyar maanga tha, judaai nahi ... wafaa maangi tha, bewafai nahi
Is jahaan mein aaye ho toh kuch aaisa karo kadardaan ... ke jis gali se guzro toh awaaz aaye, abbajaan abbajaan
Bewafaa aadmi khuda se gabra jaata hai ... aur sacha pyar hai na khuda se takra jaata hai
Yeh dhanda hai na bewafaa aurat ki tarah hai ... bewafai par utar aaye toh kangaal kar deta hai ... aur wafaadari par utar aaye toh malamaal
Bewajah log kahan marte hai ... yaar hi bewafai karte hai
Main apne area mein pehle gair kanooni dhande band karta hoon ... aur phir dhande karne waalon ko
Jis din police aur fauj tum logon ki rakhail ban jayegi na ... us din yeh saara mulk ek randikhana ban jayega ... aur jaise chakle chalte hai na ... ussi tarah tum is desh ko bech daloge
Rishwat dene waale se zyada bada gunehgar rishwat lene waala hai
Dhanda shuru karne se pehle teri jahan jahan bhi pahunch hai na, un sabse meri report manga lena ... agar kisi ek ne bhi mere area mein dhanda shuru karne ki salah di na tujhe ... toh vardi ki kasam tere dhande ka ribbon kaatne main khud aaonga
Aaj tumhe maut sirf dekhni hi nahi ... mehsoos bhi karni padegi
Haath mein pistol lekar joh jeete hai ... unka anth pistol hi likhti hai
Jahan paisa hota hai wahan jurm hai ... jahan jurm hota hai wahan khauff ... aur jahan khauff hota hai wahan mere jaisa mujrim
Trigger dabaya ... aur khel khallas!
Aye Baba ... pachaas idea hai dimaag mein
Tere karm hi nahi re ... teri saali poori atma sadeli hai sadeli
Asli hai asli ... pachaas tola, pachaas tola ... kitna, pachaas tola
Mumbai pe raj karta hoon ... raj
Thoda roothegi, thoda cheekhegi, thoda chilayegi ... dil kehta hai ek din haseena maan jayegi
Har baimaan aur bure aadmi ke seene mein khauff bhar dena chahta hoon main
Bahadur toh sab hote hai ... main zara sa lucky hoon
Agar main marr gaya toh tu jee gaya ... agar main jee gaya toh tu marr gaya
Jis din tu isse zindagi dega ... main isse maut doonga, maut, sirf maut!
Na main teri tarah kisi ko supari doonga, na hi saboot mittaonga ... balki jis din main tum logon ke naam ke matke phodonga na ... us din is shehar ka bachcha bachcha bolega ... tapka re tapka ... ek aur tapka
Pyar is duniya ki sari taqleefon ko apni mithaas se pighala deta hai
Agar pakadne waalon ke paas hazaron aankhen hoti hai ... toh unse bachke nikalne waalon ke paas karodon aankhen hoti hai
Adalat mein muqadma ladna mera pesha hai ... aur adalat ke kaam kaaz mein koi apni taange adaye ... uski taange todna meri hobby
My would be wife ... yeh lo knife ... kaato yeh cake aur bacha lo is bhooke ki life
Tum mujhe bahut achchi lagti ho ... jab samne rehti ho toh dil karta hai ki tumhe dekhta rahoon ... aur jab door rehti ho toh mann chahta hai ki tumhare bare mein sochta rahoon
Main yahan karobaar karne behta hoon ... desh seva nahin
Gunday ka sirf ek hi ussool hota hai ... ki uska koi ussool nahi hota hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
