Page 2 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for cast:

cast:
2 (of 2 pages) | 23 (of 55 items)
1 2
Woh afsana jise anjaam tak lana na ho mumkin ... usse ik khoobsurat mod dekar chhodna acha
Is duniya mein apna paraya kuch nahi hota ... kuch log apno ko paraya samajh ke thukra dete hai ... aur kuch parayon ko apna lete hai ... bas jise apna lo wohi apna ban jaata hai
Junglee janwaron ke ghosh par jeene waala sher ... goli se ghayal hokar insaan ke ghosh ka bhookha ho jaata hai
Vaada kiya tha yaar ne aayenge din dhale ... suraj khuda ke vaaste ho ja tale tale
Hota hai woh kaam achcha jiska ho anjaam achcha
Iss tarah aanchalon se ulajhne ke shaukh ya kaanton ko hota hai ya mardon ko ... sheron ko nahi
Chup nahi sakti chupane se mohabbat ki nazar ... chahane waale bhi rakhte hai qayamat ki nazar
Lajja hi stri ke mann ka darpan hota hai
Khilte hai gul yahan khilke bhikharne ko ... milte hai dil yahan milke bichadne ko
Chaman mein ikhtalat-e-rangboo se baat banti hai ... hum hi hum hai toh kya hum hai ... tum hi tum ho toh kya tum ho
Haya se sar jhuka lena, ada se muskura dena ... haseeno ko bhi kitna sehal hai, bijli gira dena
Hawa badal gayi hai aaisi kuch zamaane ki ... duayen maangta hoon hosh mein aane ki
Gulshan parast hoon mujhe gul hi nahi aziz ... kaanto se bhi nibah kiye ja raha hoon main
Yaad-e-maazi azab hai ya rab ... cheen le mujhse hafiza mera
Kisi ki nazar ka joh bismil nahi hai ... woh kehne ko dil hai, magar dil nahi hai
Jahan na jaaye ravi, wahan pahunche kavi
Ek sache dost ke rishtey mein, maa, baap, aur bhai behen ka pyar bhi shamil hota hai
Main dekhta hoon sach hai kahin khwaab toh nahi ... yeh weham tera hai dil-e-betaab toh nahi
Meri zindagi mein aate toh kuch aur baat hoti ... yeh naseeb jagmate toh kuch aur baat hoti
Libaas badal dene se aatma nahi badal jaati
Aaj sheeshay mein bar bar unhe dil ki moorat dikhai deti hai ... apni soorat nazar nahi aati, meri soorat dikhai deti hai
Aankhon ke andhere se main nahi ghabrata ... mann ke andhere se darr lag raha hai
Saawan ki raaton mein aaisa bhi hota hai ... raahi koi bhoola hua, toofano mein khoya hua, raah pe aa jaata hai ... aaisa bhi hota hai
1 2

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.