dialogues for cast:
cast:
Zindagi ka doosra naam problem hai
Pattharon ki is duniya mein devta banna toh bahut aasaan hai ... insaan banna bahut mushkil
Laashen bicha doonga laashen!
Aaj ke baad teri har saans ke peeche main maut bankar khada hoon
In haathon ne sirf hathyaar chhode hai ... chalana nahi bhoole
Joh gurda rakhta hai ... usse hi jeene ka haq hai
Kanoon aur insaaf taqatwar ke ghar ghulam bankar behte hai
Is ladai mein yah toh hamari poori jeet hogi ... yah poori haar
Pinjare mein aakar sher bhi kutta ban jaata hai
Yeh mazdoor ka haath hai ... loha piglakar uska aakar badal deta hai
Darakar logon ko woh jeeta hai ... jiski haddiyon mein pani bhara hota hai
Mard banne ka itna shauk hai ... toh kutto ka sahara lena chhod de
Suraj ki pehli kiran aapke bunglay aur mere ghar pe barabar ki roshni dalti hai
Isse pehle ke kuch netaon ne toh sirf yeh desh becha hoga ... magar yeh woh hai joh is desh ka balatkar kar dega
Jab tumhari bhatakti hui rooh tumhare mulk pahunche ... toh ek ek shaitan se kehna ki dobara hamare desh ki taraf aankhen uthane ki jurrat na kare
Zindagi kisi ek ke ho jaane ka naam hai ... kisi ko lootne ka nahi ... kisi pe lut jaane ka naam hai
Insaan halaat ke bas mein hota hai ... halaat insaan ke bas mein nahi hote hai
Mohabbat na ho toh aadmi saans toh zaroor leta hai ... magar zinda nahi rehta hai
Bijli ka woh jhatka lagega ... ki tu jhatakna bhool jayega
Chilaao mat ... nahi toh yeh case yahin rafaa dafaa kar doonga ... na tarikh na sunwai, seedha insaaf woh bhi tabartop
Judge order order karta rahega ... aur tu pittaa rahega
Maidan mein khule sher ka samna karoge ... tumhare mard hone ki galatphami door ho jayegi
Aaise khilone bazaar mein bahut bikte hai ... magar isse khelne ke liye joh jigar chahiye na ... woh duniya ke kisi bazaar mein nahi bikta ... mard usse lekar pehda hota hai
Jab yeh dhai kilo ka haath kisi pe padta hai na ... toh aadmi uthta nahi ... utth jata hai
Tarikh par tarikh, tarikh par tarikh, tarikh par tarikh, tarikh par tarikh milti rahi hai ... lekin insaaf nahi mila my lord, insaaf nahi mila ... mili hai toh sirf yeh tarikh
Arre yeh lo ... aa gaye kalyug ke kanhaiya
Main sarkari afsar hoon ... farz mera dharm hai
Meri shaadi ho chuki hai, magar maut se
Main goli aur boli dono zubaane jaanta hoon
Dimaag ki charbi ke saath saath main badan ki charbi bhi nikal deta hoon
Zindagi ke imtehan mein aaise mauke bhi aate hai ... jab insaan ko sachchai chupani padti hai
Noton ki gaddiyan mooh mein lekar bhaunkne waalon ki ... hum mein koi parwah nahi
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
