Page 10 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for cast:

cast:
10 (of 11 pages) | 32 (of 335 items)
1 9 10 11
Is tarah pyar ka izhaar nahi hota ... joh do kadam saath chale woh yaar nahi hota ... pyar karne waale kaaton pe chalte hai ... joh aa jaye sholay toh sholon mein jalte hai ... kyun tujhe mere pyar par aitbaar nahi hota ... agar dilon mein sacha pyar nahi hota ... toh yeh duniya nahi hoti, yeh sansar nahi hota
Jab sooch mein ek peedhi ka antar aa jaye ... toh dono ko apne raaste alag alag kar lene chahiye
Koi kahe jheel, koi kahe jharna, koi dilruba tujhko ... main bekhauf keh deta hoon, husn ka khuda tujhko
Main ittefaq se koi kaam nahi karta
Everything is planned!
Kayi baatein is chewing gum ki tarah hoti hai ... jab tak mooh mein rehti hai achcha lagta hai ... bahar aate hi pareshani ban jaati hai
Teen cheezon ki wajah se rishtey bante bighadte hai ... aapke dil mein kya hai, aapki kismat mein kya hai aur aapki jeb mein kya hai
Phooti hui taqdeer aur tezz dimag bahut hi khatarnak combination ho sakta hai
Pressure aa gaya ... pressure aa gaya ... haai pressure aa gaya
Meri kundli mein khoon likha hai ... maloom hai na?
Hamare gehre vishvas ke rishtey mein ... tumne apne dil mein kuch gehre raaz chupaye hai
Achchai se hi burai ko maara ja sakta hai ... neki se hi baddi ko mitaya ja sakta hai ... shanti se hi kisi ki mann ki jalan ko hataya ja sakta hai
Main tumhari har baat manne ko tayaar hoon, lekin yeh baat manne ko tayaar nahi ki iske charitra pe daag hai
Tum log sab jhoot bol rahe ho ... najane kitne din, kitne mahine, kitne saal jhoot pe jhoot pe jhoot bolte aaye ... aur main chup chap bardaasht karta raha
Nafrat ko sirf mohabbat se jeeta ja sakta hai ... sirf mohabbat se
Hum gareebon ke paas ek hi chaddar hoti hai ... joh aankh khuli rehne tak oodhi jaati hai ... aankh bandh ho jaane ke baad us hi ka kafan bana diya jaata hai
Jis rishte ki buniyaad jhoot hai, fareb hai ... usse ret par bane mahal ki tarah dasna hi hoga
Main bure kaam zaroor karta hoon ... lekin waise nahin ki insaaniyat ko mujhpe sharm aa jaye
Bachpan se aaj tak maine kabhi Holi nahi kheli ... magar ab kheloonga khoon ki Holi
Tees din hai tumhare paas ... ek-a-tees ve din mein agar tum is shehar ki hadh mein bhi nazar aaye ... toh duniya ki hadh se bahar nikaal kar phenk doonga
Stall ka pachees, balcony ka pachaas ... ek ticket bacha hai, baki sab khallas
Joh aag bhujti nahi ... usse bhuja diya jaata hai
Bina saboot ka mujrim bhi apradhi hota hai
Insaan ko agar lalach ki pyaas lag jaye ... toh woh kitne hi rishton ka khoon kar sakta hai
Kanoon saboot ka mohtaj hai ... lekin jis din mere haath saboot laga ... tum logon ko pagal kutton ki tarah ghaseeta hua le jaonga
Tumhare dil ke jail mein umar bhar ke liye qaid ho gaya hoon ... chahkar bhi yahan se riha hone ka koi chance nahi ... aur tumhari zulfon ki zanjeeron mein is tarah jakad gaya hoon ... ki agar chahon bhi toh usse todh nahi sakta
Azaadi ka nasha sabse bada nasha hota hai ... usse bada koi nasha nahi
Bichhoo se zyada khatarnak hoon main ... aur saanp se zyada zehereela
Jung ke maidan mein ladne wala har sipahi barabar hota hai
Darye us bhagwan se ... sabse badi goli hoti hai uske paas joh bewaqt chalti hai
Dil se nikli awaaz dil tak zaroor pahunch jaati hai
Sharaab ek aaisi cheez hai ... joh ameeron ka shaunk aur gareebon ki zaroorat hai
1 9 10 11

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.