dialogues for cast:
cast:
Pran dene se paap ka anth nahi hota ... punya ke prabhav se hota hai
School aur college ka imtihaan khatam hone se student life khatam nahi hoti ... zindagi ke har modh par har insaan ek student hai
Joh main paaon apne piya ko, aakhiyan mein rakh loon ... na main dekhoon koi ore, na toku dekhan doon
Aurat ki aabru jab luttati toh uske kaleje mein aag lagti hai ... aur woh aag us waqt tak nahi bhujti ... jab tak woh apna inteqam na lele
Matwaali raftar qayamat, payal ki jhankar qayamat ... aaj qayamat se pehle hi, aa pahunchi sarkar qayamat
Yeh husn Allah Allah, nazar tauba tauba ... ki ek hi jhalak mein khudai bhula di ... haseeno ne loota hum mein ... aur humne haseeno pe sari jawani luta di
Hum vatan parasth hai aur vatan hi hamara dharam hai
Baatein karodo ki aur dakshina kaudiyo ki
Mirch ke bagair khana aaise hota hai jaise chand ke bagair puranmashi ki raat, koyle ke bagair engine aur pani ke bagair kuaan
Sarhad ke us taraf ki zameen aur is taraf ki zameen ek hi hai ... aur yeh zameen pani maangti hai, khoon nahi maangti
Paap karna bura hai ... lekin usse bhi bura hai paap karke bhagna
Kisi khoobsurat ladki ko dekh kar koi chede nahi ... toh hamari society mein badtameezi mani jaati hai
Hum apne dard ki tauheen kar gaye hote ... agar sharaab na hoti toh mar gaye hote
Haan karta hoon toh aate hai paseene unko ... na na karta hoon toh raaton ko woh dar jaate hai
Tum gham-e-beti mein dubli na hui ... main bekaari mein mota ho gaya ... tum balti se ho gayi drum ... main glass se lota ho gaya
Jeevan ka matlab toh aana aur jaana hai
Log London se degree ke alava aur kabhi kabhi degree ke bajai ... mem lekar aa jaate hai
Agar kisi nek kaam ke liye jhoot bolna padhe ... toh woh jhoot sau sach ke barabar hai
Har insaan joh paap se, zulm se ladta hai ... woh bhagwan ka hi toh roop hota hai
Sagad Singh dushman ke dost ko bhi apna dushman manta hai
Joh veer Rajput apna sar jhukakar dushman ka dil jeet le ... woh sar uthakar jag jeetega
Subah hoti hai, shaam hoti hai ... umar yunhi tamaam hoti hai
Aaj kal sirf do kisam ki painting ki demand hai ... ek woh joh raeeson ke bedroom ki shobha bada sake ... aur doosri woh joh kisi ki samajh mein na aa sake
Duniya looti makkar se aur roti khayi shakkar se
Khili thi chaandni, charon taraf pani barasta tha ... main jab pehda hua, toh meri maa roti thi aur baap hasta tha
Pati ka ghar stri ka sansar hota hai
Jee haan baza huzoor kiye ja raha hoon main ... aur maska laga lagake jeeye ja raha hoon main
Zara si der ho jayegi toh kya hoga ... ghadi ghadi na uthao nazar, ghadi ki taraf
Joh kali dulhan bani hai woh chaman ki jaan hai ... par dahej joh kuch mila hai, jung ka samaan hai ... aap meri toop hai aur sasur captaan
Haara hua juari aur bighada hua raees bahut khatarnak hota hai
Bijli giri Musharabad mein aur ghar jala Moradabad mein
Jeene na degi aankhen teri dilruba mujhe ... in khidkiyon se jhaank rahi hai kazaa mujhe
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
