dialogues for cast:
cast:
Tum itna joh musruka rahe ho ... kitna kameenapan chupa rahe ho
Insaan ki sabse badi taqat apni kalpana hoti hai
Joh khoya hai woh ek khwaab hai ... aur joh paaya hai woh lajawab hai
Agar insaan haare bhi na ... toh uh kaam karke jisse woh dil se karna chahe
Kabhi akhbaar, kabhi khat kaagaz ... rozmarra ki zaroorat kaagaz ... aane jaane ki sahulat kaagaz ... jeene marne ki izazat kaagaz ... pyar ki chittiyan bhi kaagaz ki ... kaam ki arziyan bhi kaagaz ki ... jashan mein jhandiyan bhi kaagaz ki ... jism ki mandiyan bhi kaagaz ki ... bane naaton ka bhi gawah kaagaz ... kahin shaadi, kahin nikah kaagaz ... kahin talaak ka gunah kaagaz ... banaye aur kare tabah kaagaz ... cheen le khet, ghar, zameen, kaagaz ... poche aankhon ki bhi nammi kaagaz ... har jagah yoon hai laazmi kaagaz ... jaise ghar ka hai aadmi kaagaz ... kuch nahi hai, magar hai sab kuch bhi ... kya ajab cheez hai yeh kaagaz bhi
Kuch nahi hai magar hai sab kuch bhi ... kya ajab cheez hai yeh kaagaz bhi ... baarishon mein hai naav kaagaz ki ... sardiyon mein alaav kaagaz ki ... aasman mein patang kaagaz ki ... saari duniya mein jung kaagaz ki
Ghar khareedne se pehle na do baar dekh lena chahiye ... ek baar din mein, ek baar raat mein ... din mein joh hai na woh ghar samajh aata hai ... aur raat mein mohalla samajh aata hai
Yeh joh miya biwi ka rishta hota hai na, yeh Allah miya ne kache dhaage se baanda hai ... gaant baand baand ke chaloge toh reh jaata hai ... aur jahan gaant khuli toh baat khatam
Itihaas badalne ke liye ek kissa hi kaafi hota hai
Har rishta flawed hota hai ... usse jodke rakhna padta hai
Hum toh hamesha sahi sochke karte hai ... aur kayi baar sahi karne ka result happy nahi hota
Jise haarne ka darr nahi ... jeet usse door nahi
Joh yodha apni talwar khud banata hai ... us par uska vishwas dugna ho jaata hai
Yudh mein shastra nahi, saahas chahiye ... sena nahi, himmat chahiye
Apne liye naacha toh kya naacha ... apno ke liye naacha toh koi baat hai
Apna joh dil hai na woh dimaag jitna nahi sochta ... haan lekin joh sochta hai, bilkul sahi sochta hai
Dua tujhe aage milegi ya nahi milegi ... lekin yeh saali baddua hai na, yeh tera peecha kabhi nahi chhodegi
Doosre kya sochte hai sochne lagenge, toh saari zindagi bhar sochte hi reh jayenge
Bachon ka zindagi bhar apne maa baap par haq hota hai ... par maa baap ka bachon pe nahi hota hai ... yehi duniya ki reet hai
Maa zyada pyar karle toh bache bighad jaate hai ... bachon ko thoda kam pyar karde toh bhi bache bighad jaate hai ... koi maa perfect maa hoti hi nahi hai
Maa ko bhagwan ka nahi ... bhagwan ko maa ka darja diya jaata hai
Safar shuru hone se pehle tum safar ke malik hote ho ... magar jab safar shuru hota hai toh safar hi malik ho jaata hai
Har ek khiladi apne liye ya apne team ke liye khelta hai ... sirf kuch ek khushnaseeb khiladi aise hote hai, jinko desh ke liye khelne ka mauka milta hai
Koi bhi khiladi us din ke liye khelta hai, jis din woh desh ke liye khelta hai
Arre made in China Mastani ... teri masti main nikalta hoon ... dikha na paaye face kisi ko ... teri naak abhi main kaat'ta hoon
Har baazi mein ek goti aisi hoti hai, jiska khud kuch bane na bane ... doosre gotiyon ko zaroor bana deti hai
Koi akela hota hai, apna kehne ko koi nahi hota hai ... aur koi apno mein bhi akela hota hai
Hum sabke andar kahin pe ek shaitaan chupa hota hai ... thik woh soda bottle ke andar ke bulbule ki tarah ... bas dhakan khulne bhar ki der hai
Purana paap aur purana pyar aksar lautke aate hai ... aur jab aate hai toh lagake jaate hai
Zindagi ka sirf ek hi sach hai ... death ... baki sab doodh mein milaya hua pani
Ab life ki fitrat hai lena, toh legi ... ab yeh tumpe hai ki munh phulake doge ya daant dikhake
Ludo is life ... life is Ludo
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
