dialogues for Tag:
Tag:
Mohabbat ussi ka naam hai joh insaan ko qurbaaniya sikhati hai
Jab kashti jawani ke kinare par aa jaye ... toh wahan aadmi nayi awaazon se pyar karne lag jaata hai ... wahan usse shaadi ke baaje sunai dete hai ... phir usse pichle kinare ki awaazon ka khayal nahi karna chahiye
Bastiyan aur khazane lootne waale ... dilon ko nahi loot sakte
Beete dino ki yaad khud hi mitt jaati hai ... usse mitane ki zaroorat nahi padti
Mitti ka gaar toot ke judh sakta hai ... par yaad rakhna stree ki laaj ka seecha ek baar toot jaaye, toh kabhi nahi judh sakta
Dil kanoon ko nahi maanta ... kisi kanoon ko nahi maanta
Joh ek baar apradhi ban jaye woh phir kabhi sharif nahi ban sakta ... chahe kitna hi bhes kyun na badle
Insaaf karte waqt har doosre rishtey ko bhool jaana padta hai
Bhook se aadmi mar jaata hai ... lekin bheek se aadmi ki izzat mar jaati hai
Pachtave ka har aansoon ... ek lambi dua ke barabar hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
