Page 8 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

Dialogues from Movies for Parties

8 (of 459 pages) | 32 (of 14662 items)
1 7 8 9 459
Janta ki roke raah, samay mein dhaav kahan ... singhasan khali karo ki janta aati hai ... do raah samay ki rath ka, ghar ghar naad suno ... singhasan khali karo ki janta aati hai
War is 90% waiting and 10% fighting
Ek haara hua insaan kabhi kisi ki jeet bardaasht nahi kar sakta
Rajneeti mein sirf ek hi baat galat hai ... aur woh hai haar jaana
Jeb mein jab chillar ho na, toh aadmi sirf moongphali khareed sakta hai
Power mein joh power hota hai, woh aur kisi cheez mein nahi ... lekin ab lagta hai power se zyada power, pyar mein hai
Agar imaan bechna hi hai ... toh aisi rakam ke liye becho ... agar tumhara zameer tumhe sone na de ... toh bank mein neend khareedne ka balance hona chahiye
Wrong ho ya right ... meri marzi hi meri marzi hai
Main tujhse itni nafrat karti hoon ... ki main apni nafrat bhi kisi aur ke saath nahi batungi
Aashiqon ke marne se toh itihaas bana hai ... main marne ko bhi taiyaar hoon, aur itihaas banne ko bhi
Ek aurat ki marzi hi uski marzi hoti hai ... aur us marzi se badkar, kisi bhi ek deewane ki deewaniyat kuch nahi hoti hai
Yeh badshah sang-e-mar-mar ka maqbara nahi ... tumhare patthar dil mein apne pyar ka Taj banwayega
Aaj ke baad Adaa jis gali se guzri ... agar us gali se tumhari soch bhi guzri na ... toh Mantralay ho ya sauchalay ... dono jagah khade hone ke layak nahi chhodunga
Tune aaj tak sirf ek aurat ki chhoodi ki khanak dekhi hai ... ab tu ek aurat ki sanak dekhega
Kaisi meri taqdeer hai, joh mere naseeb mein sirf teri tasveer hai
Tujhse mohabbat karna ae sanam meri zaroorat hai ... aur yeh tere is badnaseeb deewane ki deewaniyat hai
Jab khuda kisi ko banata hai na, toh us mein kuch khaas baat hoti hai ... lekin khuda ne Adaa ko banaya, issi liye ab woh khaas baat khuda mein hai
Tera pyar, pyar nahi teri zid hai ... jisse tu paar kar raha hai woh har hadh ki hadh hai ... mere dil mein tere liye mohabbat nahi, sirf nafrat hai ... tujhe tabaah joh kar degi woh is deewani ki deewaniyat hai
Agar tu dil todh bhi degi mera, toh har toota tukda tere liye dhadkega ... mera yeh ishq sirf chingaari nahi, aag bankar bhadkega
Agar dar jaunga toh zamana bhoolne nahi dega ... agar mar jaunga toh duniya yaad rakhegi
Tere liye mera pyar, tera bhi mohtaaj nahi ... yeh marte dum tak rahega, sirf aaj nahi
Teri deewaniyat mein jab main mar jaunga na, toh aise hi rehna ... apni aankhon mein ek bhi aansun mat aane dena ... kyun ki teri aankhon mein ek bhi aansun meri rooh bardaash nahi kar payegi
Main kuch bhi kar loon, tum kabhi mujhse mohabbat nahi karna chahti ... aur tum kuch bhi kar lo, main kabhi tumse nafrat nahi kar sakta
Ek baar ko naag apna raasta badal sakta hai ... lekin nagin apne phan faila de na ... toh saphera bhi usse kabu nahi kar sakta
Dawai ek do kam aaye toh marenge nahi ... lekin daru barabar lana, nahi toh bachenge nahi
Jab ghar mein koi marta hai na, toh woh akela nahi marta ... uske saath uski umeedein, uske sapne, uska pariwar, sab mar jaata hai
Attitude utna hi dikha jitna teri shakal pe suit kare
Khabardaar, agar koi bhi apni jagah se hila toh goliyon se aisa challi karenge, aisa challi karenge ... ki ang-ang se Karva Chauth ka chand nazar aayega, woh bhi chota chota
Marne ka khauff zindagi jeene ki chahat se pehda hota hai ... par jeet'ta toh wohi hai na joh kisi bhi waqt marne ko taiyaar ho
Munh todne ke liye mutthi band karna zaroori hai ... we must infiltrate the very core of terrorism in Pakistan ... taaki woh Bharat ke khilaaf agar neend mein bhi soche na ... toh unke khwaab mein bhi hum behte nazar aane chahiye
Agar tum logon ke fataake khatam ho gaye toh, main dhamaka shuru karun
Chingaari lagakar tujhe yeh laga tune aag par kaabu paa liya ... yeh galatfehmi mat paalna ... yahan barood ka dher behta hai tujh jaison ko raakh karne ke liye
1 7 8 9 459

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..