Dialogues from Movies for Parties
Jab tak hawa mein ho befikar hoke udne ka maza lete raho ... shayad kabhi pair zameen pe padne ki zaroorat hi na pade
Jab kisi ko I love you bolo ya kisi ka dil todho ... dono mein koi shortcut nahi hota
Yeh joh forever wala rishta hota hai na ... yeh tum ladkiyon mein paidahishi hota hai ... sirf sahi bande ki entry ka intezar hota hai
Pyar mein padna is like investing in mutual funds ... hum sabko lagta hai baad mein jab mature hoga na, tab return dega ... joh hum nahi sochte hai woh yeh hai ... ki investing in mutual funds is subject to market risk
Love na ek bungee jump hai ... dum hai toh kood pado ... safe landing ki koi guarantee nahi hai, toh safety ka socho hi mat ... jisne socha woh sochta hi reh gaya ... aur joh kooda woh udta hi raha
(Palatne nahi wala hai) ... Palatne ka wait toh 90's mein karte the log ... I was just checking out his a**
(Hum kyun nahi ek doosre ko I love you jaisi stupid baatein bolenge) ... Kyun ki phir sab emotional ho jaata hai, senty ho jaata hai aur masti ka the end ho jaata hai
Tujhe maroonga nahi ... teri bajake jaaonga!
Woh maidaan waadi ke logon ka club hai ... subah se shaam talak udhar kya kya activity chalta hai tumko malum hai? ... subah ko public dabba leke baithta hai ... shaam ko bacha log dabba eyes-spice khelta hai ... cricket ka coaching chalta hai ... couple log ka setting chalta hai ... single log ka fielding chalta hai udhar ... matter ho toh maidaan, mandavli ho toh maidaan ... sangeet kursi ka dhamakedhar aayojan ... fancy dress ka competition ... bhel puri ka lorry ... vada-pav, bhajji-pav ka gaadi ... garba, dandiya, pooja, dooja sab udhar hota hai
Apun patang, woh apni dor ... woh morni, apun uska mor
Zindagi do choice deta hai ... ya toh zindagi ko gaali dete rehne ka ... ya phir joh zindagi mile usse gale lagane ka
Ghar nahi mila toh aasmaan ko chatt, footpath ko bistar bana diya ... kabhi hawa khaya, kabhi gaali khaya ... aur jab mila tab khana khaya
Tereko udne ka hai na toh apun tera plane ban jayega ... agar tairne ka hai toh tera boat ban jayega ... agar girne ka rahega na toh parachute ban jayega ... neend aaya toh takiya ban jayega ... nahi aaya toh lori ban jayega
Jab do log ka life ek hota hai na ... toh unka sapna bhi ek hi mangta hai
Kabhi socha hai ki Mumbai ko sapno ka shehar kyun kaha jaata hai ... kyun ki yahan pe sapne sirf bungalow aur imaraton mein nahi ... galiyon ki gandi naaliyon mein bhi palte hai
Iska haath agar aadmi pe padhe toh aadmi hil jaata hai ... aur agar banjo pe padhe toh bhi aadmi hil jaata hai
Zindagi do choice deta hai ... joh milta hai woh haath phailakar le lo ... ya phir joh maangta hai woh haath uthakar cheen lo
Tu nikal apne sapne ke peeche ... aur jidhar bhi palatkar dekhegi na ... apan khada milega tere peeche
The answers to the future lie in the past
Main apna har aaj sirf tumhare saath bitana chahta hoon
Kabhi kabhi jab logon ko kuch samajh na aaye ... toh usse moden art keh dete hai
Joh guzar gaya woh haath mein nahi ... aane wala kal, joh kisse pata kya layega ... paas hamare sirf aaj hai, sirf ab hai ... us hi pe control hai ... bas yeh pal haath mein hai
Tum mera guzra hua kal thi ... aane waala kal hogi ... aur yeh pal ho
Ek baaghi aur ek sipahi mein zyada farak nahi hota hai ... bas yeh unke maqsad hai joh ek ko baaghi banata hai aur doosre ko sipahi
Manushya apni taqat se kisi ko jeet sakta hai, jhuka sakta hai ... lekin pyar nahi paa sakta
Baaghi bano, be a rebel ... par kisi maqsad ke liye
Tu bahut aage jayega ... kyun ki tu jahan bhi jayega na ... log bolenge chal beta aage bhad
Itni jaldi kya hai ... abhi toh maine start kiya hai
Maana mera tareeka galat tha ... par kya karoon, tumse bahut pyar karta hoon
Agar tera mera koi connection hai, toh agli baar jab baarish hogi ... hum apne aap mil jayenge
Kabhi kabhi paisa joh hai woh insaan se zyada kaam aata hai
Itna gyaan mat baant ki khatam ho jaaye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
