dialogues for cast:
cast:
Abhi aaye, abhi behte, abhi daaman sambhala hai ... tumhari aulad bhi kya yaad karegi, ki chacha ne kya dum nikala hai
Kaante sirf zakhm de sakte hai ... khushboo nahi de sakte
Pyar ke mamle mein aur khane ke mamle mein ... doosre ki marzi mein apni marzi ki taang nahi adana chahiye
Haai gul-e-gulzar, jaan-e-bahar ... vaise kaafi ho vazandar
Mujh jaise vakil se kabhi mat lena panga ... varna kapde pehne rahoge aur duniya samjhegi nanga
Mere liye Lakshmi Devi, Saraswati Devi, Durga Devi, Kali Devi, duniya ki har devi joh hai ... woh hai insaaf ki devi
Kya cheez hai yeh aansun bhi ... aaisa lagta hai jaise barson ka bhukhaar joh mann mein bhara hua tha ... in do qatre aansuyon mein behke nikal gaya
Insaan dil ke haathon majboor hai ... aur dil ke haathon kyun majboor hai woh sirf dil jaanta hai ... kyun ki dil, dil hi toh hai
Tera bhi jawaab nahi uparwaale ... chokri na mili, naukri mil gayi ... stree na mili, istree mil gayi
Daulat insaan ki zaroorat hoti hai ... lekin agar woh kamzori ban jaye, toh phir musibat ban jaati hai
Log pyar mein zindagi haar jaate hai, aap ek inkaar se haar gaye?
Abhe bewakoofi ke laltern se nikalne waale andhere
Daulat se tu mahal khareed sakta hai, gaadiyan khareed sakta hai, chaaplusi karne waale dost khareed sakta hai ... magar gaaliyon mein duayen dene waala yeh baap nahi khareed sakta
Agar bete ka kadh baap se ooncha ho jaaye toh beta apne baap ka baap nahi hota hai ... woh saala bete ka beta hi hota hai
Shayaron ki mehfil mein jaate hai toh shayar ho jaate hai ... aur koi apne se tagda mil jaye toh kayar ho jaate hai ... zindagi ki gadi mein fit kardo toh tyre ho jaate hai ... aur agar bandook mein fit kardo toh fire ho jaate hai
Maine is duniya mein bahut saare logon ko daulat aa jaane ke baad apna ghar badalte dekha hai, halaat badalte dekha hai, kapde badalte dekha hai ... maa baap badalte kisi ko nahi dekha hai
Hum taaliyan sun sakte hai ... magar gaaliyan nahi sun sakte hai
Badalo hat jao dedo raah jaane ke liye ... ke Laila aa rahi hai Majnu se ishq farmaane ke liye
Hum nahi teer aur talwar se marne waale ... katal karna hai toh ek tirchi nazar kafi hai
Ladki ki khoobsurati shareer ko dhakne mein hai ... shareer ki numaish karne mein nahi hai
Mohabbat mitt nahi sakti zamaane ke sataane se ... ke suraj bhuj nahi sakta paani mein dubaane se
Makkari ki mitti se janam lene waale gaddari ke paude
Hosh mein aa zaalim gareeb jaagne waala hai ... tayaar raho bhaiyo ab yeh khujane waala hai
Kya ishq ka khoon kisi sahukar ke paan ki pichkari hai ... kya tumhari zindagi zindagi, hamari zindagi bimari hai ... tumhara khoon khoon, hamara khoon pani hai ... tumhara naam naam, hamara naam gaali hai ... tum karo zulm toh woh sarkari hai ... aur hum kare fariyad toh woh gaddari hai
Mohabbat ko samajhna hai toh pyare khud mohabbat kar ... kinare se kabhi andaaz-e-toofan nahi hota
Shobhraj joh karta hai woh kehta nahi ... pehle karta hai phir kehta hai
Mere chehre pe kutte ki naak lagi hui hai ... main apne karazdaar ko soongh ke pakad leta hoon
Yeh maa ki gaud nahin hai ... maut ki gaud hai
Daulat ki mandi mein kanoon hamare isharon par kathputli ki tarah naachta hai ... aur insaaf hum karte hai, hum
Main toh aakhi zindagi samajhdari ki baat karte rehta hoon ... magar afsoos ki baat yeh hai ki pehli martaba meri samajhdari ki baat aapki samajhdari ki pitaari mein utari hai ... samajhe ki nahi?
Jab kaam ka bhoj badh jaata hai na ... toh dimaag ki wiring mein short circuit ho jaati hai
Aapka suputra bahut samajhdar hai ... yeh maana ki teekhi dhaar hai, magar zara dildar hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
