dialogues for cast:
cast:
Bread ka baadshah aur omelet ka raja ... Bajaj ... hamara Bajaj
Sab cheez time to time honi chahiye
Woh bhookhi pyasi nahi hai, uska pet bhar gaya hai ... mohabbat ki hawa khake, ishq ka sharbat peke
Umar ka rog jism ko lagta hai jigar ko nahi
Lagata hai tumhari aankhon mein soovar ka baal hai
Duniya mein abhi tak kisi government ne aaise note nahi banaye ... joh ek baap se uske bete ko khareed le
Phatte hue kapde toh sille jaate hai ... lekin gayi hui izzat vapas nahi aati hai
Raajneeti asambhav ko sambhav bana dene ki kala hai
Sirf siddhant ke bal par raajneeti nahi chalti ... iske liye stithi ko samajhna zaroori hai, samay ki chaal ko pehchanna zaroori hai
Waqt pe shaadi na karo ... toh aadmi bahek hi jaata hai
Prem ki sabse badi kushalta yeh hai ... ki is mein lene waala bhi kuch deta hai aur dene waala bhi kuch paata hai
Jaagti hui aankhon ka khwab kabhi poora nahi hota
Girne waala gehrai thodi dekhta hai
Agar rishwat lete huve pakde jao ... toh rishwat dekar choot jao
Khana hai toh chaata bhi kha lo ... magar byaj ke saath vapas karo
Saanp aur imaandar aadmi dono ek saath mil jaye ... toh pehle imaandar aadmi ko maar daalo
Bahadur ko uski bahaduri fasati hai ... aur darpok ko uska dar
Dushmani karo toh dushman ko raaste ka bhikhari bana do ... taaki woh haath failaye, haath utha na sake
Mujhe zyada bolne ki aadat nahi hai ... main joh bolta hoon woh sun aur joh nahi bolta hoon woh dhyaan se sun
Aasoon gareeb ki dil ki tijori se nikalne waale keemti moti hote hai
Joh kam bolte hai, woh aksar khatarnak hote hai ... is liye chalak aadmi ko khamosh dushman se hamesha hoshiyar rehna chahiye
Taash ki gaddi bhale hi bees rupaye ki ho ... lekin uspar jua karodon ka kehla jaata hai
Sabse gehra zakhm wohi log de sakte hai ... joh khud gehri chot khaye huye hai
Gunaah chupane se gunehgaar nahi chup sakta
Yahan tum joh chahoge milega ... nahi milega toh sirf bahar jaane ka raasta
Roti, kapda aur makaan teeno cheezein imaandari ke saath ek saath ... nahi milti
Paisa imaandari ke saath bhi kamaya ja sakta hai ... magar sirf itna ... agar pet bhar gaya toh badan kapdon se khali rahega ... aur agar kapdon se badan ko dhank liya toh bhook se pet khali
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
