Page 2 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for cast:

cast:
2 (of 4 pages) | 32 (of 118 items)
1 2 3 4
Hum kab aate hain aur kab jaate hain ... yeh toh taqdeer banane waale ko bhi malum nahi
Sher ko saanp aur bichoo kaata nahin karte ... door hi door se rhengte hue nikal jaate hai
Khaash ke tumne hum mein aawaaz di hoti ... toh hum maut ki neend se uthkar chale aate
Hum tumhe maarenge, aur zaroor maarenge ... lekin woh bandook bhi hamari hogi, goli bhi hamari hogi aur waqt bhi hamara hoga
Yeh Thakur Rajeshwar Singh, itihaas batata nahi ... itihaas likhta hai ... itihaas banata hai
Jab Rajeshwar dosti nibhata hai, toh afsaane likhe jaate hai ... aur jab dushmani karta hai, toh tarikh ban jaati hai
Insaaf ke jin saudargaro ke bhram par, tum farz ka sauda kar rahe ho ... unki gardane bhi hamare haatho se door nahi
Kauva oonchai par bahetne se kabootar nahi ban jata
Chalaaki karne waala khud hi apni chalaaki ka shikaar ho jata hai
Bahut log is rupaiye ke peeche bhaagte hai ... lekin chand aaise hote hai jinke peeche rupaiya bhaagta hai
Aurat toh narm matti ki bani hoti hai ... kabhi bhi toot sakti hai
Sher ki khaal pehenkar aaj tak koi aadmi sher nahin ban saka
Toofan mein hum apni khushi chahte hai ... jaan hatheli pe liye jee jaate hai ... tum woh joh samundar jinhe kha jaata hai ... hum woh joh samundar ko pee jaate hai
Khetti kisaan ki hogi joh us par kaam karta hai ... zameendar ki nahi joh us par aaram karta hai
by: Raaj Kumar
from: Suryaa (1989)
code:
Haqeeqat chup nahi sakti banavat ke usoolon se ... ki khushboo aa nahi sakti kabhi kagaz ke phoolon se
by: Raaj Kumar
from: Suryaa (1989)
code:
Krishna Prasad maut ki diary mein ek baar jiska naam likh deta hai ... usse yamraj bhi nahi mitta sakta
Hum toh woh bhanwar hai jis mein samundar ke samundar doob jaate hai
Chipkali ke bachche kabhi magarmach nahi ban sakte ... woh deewar par rhengte rhengte hi mar jaate hai
Hum mein oonchi awaaz sunna bhi pasand nahi ... hamare samne joh oonchi awaaz mein bolta hai ... uski awaaz hamesha hamesha ke liye band kar di jaati hai
Bahut kam baha khoon zameeno ki khatir ... katte sar hazaron haseeno ki khatir
Farz ki ibaadat aur usool ke maqaam par pahunchne ke liye ... bahut kuch peeche chhod dena padta hai ... taki farz ke raaste mein koi jazba rukavat na pehda kar sake
Rana ki shatranj ka ghoda a-dai ghar nahin chalta ... seedhe raja ko marta hai
Aasoon bahane se dil toh halka ho jayega lekin gham ka bhoj halka nahi hota
Rana na pyase pehda hue the ... aur na hi pyase marenge
Zindagi ek natak hi toh hai, lekin zindagi aur natak mein farak hai ... natak ko jahan chaho, jab chaho badal do lekin ... zindagi ke natak ki dor toh upar waale ke haath mein hai
Hausle se har kaam mumkin hai ... hausle se insaan apni taqdeer jaise chahe waisi bana sakta hai
Gunaah ke samundar ki koi bhi machli ... tumhare jeevan ke pavitra nadi mein kabhi nahi aayegi
Rana karz aur farz dono ko ... ek hi nazar se nibhata hai
Hamare kaan na nahin sun sakte ... agar na sunle ... toh hamare kaanon se angaray nikalne lagte hain
Hamare phone ke baad interview nahin hota ... letter of appointment seedha milta hai
Baaton ki talwar se gardan nahin katti
Hum mein amiron ki taqat ka nahin ... garibon ki kamzori ka ehsaas hai
1 2 3 4

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.