dialogues for cast:
cast:
Bina kuch kiye lene ke dene padh rahe hai ... agar kuch by chance kar liye toh lene aur dene dono padh jayenge
Yeh toh mafia ke baap hai ... ek nevla toh doosra saanp hai ... agar dono mil jaaye toh killer shark hai ... lekin dono angootha chaap hai
Aaisa gayab kar doonga ki Google.com bhi tumhe dhoond na payega
Jiske paas family support hai ... usse koi deport nahi kar sakta
Pehle samjhao baat ... nahi samajh mein aaya ... toh do kheench ke laat
Agar isko laga daala ... toh life jhingalala
Main yahan rishtey jodne aaya hoon ... haddiyan todne nahi
Mujhe toh nihayati khurrat plus kamini honhaar biwi chahiye
Jab tak love story mein baadhayein na ho ... woh love story, love story nahi
Abhe main un mein se hoon ... joh machli ko doobo ke maar sakta hoon
Ek baar kaam karna shuru kardoon ... no income, no tax ... (kya) no income tax
Is honey ke liye toh main moon tak jaane ke liye tayyar hoon
Agar aap chuhe hai to ye billi hai ... agar aap billi hai to ye kutte hai ... agar aap kutte hai to ye tendua hai ... agar aap tendua hai to ye sher hai ... agar aap sher hai to ye haathi hai ... agar haathi hai to ye dinasaur hai dinasaur
Main modern zamane ka kutta hoon ... wooow wooow wooow
Boyfriend girlfriend se darta hai, girlfriend cockroach se darti hai, cockroach chuhe se darta hai, chuha billi se darta hai, billi kutte se darti hai, aur kutta aadmi se darta hai ... aur aadmi aurat se darta hai ... vaise hi jaise villain hero se darta hai
Zindagi mein teen cheez kabhi underestimate nahi karna ... I, Me and Myself!
Main ek bodyguard hoon ... meri duty ke ilawa na mujhe kuch dikhai deta hai, na mujhe kuch sunai deta hai
Meri ek khasiyat hai ki main maarta kam hoon ... aur ghaseet-ta zyada hoon
Mujhpar ek ehsaan karna ... ki mujhpar koi ehsaan na karna
Pindari ka haath ... haath nahi loha hota hai
Inhe sirf todna aata hai bhook ke naam par, lalach ke naam par, bhasha ke naam par ... aur hum mein sirf batna aata hai dharm ke naam par, jaat ke naam par, raj ke naam par, raja ke naam par
Aaj har lamha ek jeevan ki tarah jeeyenge
Hamara desh ek sone ki chidiya hai, jise aap log bech-bechkar, bech-bechkar apne pet mein dharna chahte ho ... phat jayega pet, mooh mein nahi aayegi chidiya ... kyun ki ab woh chidiya baaz ban chuki hai ... joh aapko noch-nochke, noch-nochke kha jayegi
Kamzoron par taqat aazmana ... kamzoron ki taqat hai
Kisi kisi chere par muskaan bahut achchi lagti hai
Jahan se bhi pakadta hoon ... paanch ser gosht nikaal leta hoon
Agar mere desh ki taraf kisi ne aankh bhi uthayi ... toh Veer itni tabahi machayega joh aakaal aur bhukamp bhi nahi macha payenge
Main mere desh ke liye jaan de sakta hoon ... aur pyar ke liye jaan le sakta hoon
Rajputana khoon mein itna ubaal hai ... ki agar aanch lag jaaye toh gori chamdi kaali padh jaaye
Main ek pindari hoon ... ladna hamara karm hai, aur jeetna hamara dharm ... chahe woh desh ke liye ho, ya pyar ke liye
Ghar mein jis pati ki dhaak nahi chalti ... bahar uski aankh chalti hai ... samajh lijiye jab wife bhadki toh apne aap khul jaati hai nazar ki khidki
Shaadi shuda aadmi test cricketer ki tarah hota hai ... usse lambi innings khelni hai ... toh zara pyar se, aaram se ... T20 ke chakkar mein padoge toh Tik-20 ki naubat aa jayegi
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
