dialogues for cast:
cast:
Main bhi kitna harami hoon, dono taraf dhol bajhata hoon ... udhar se maal kamata hoon, idhar se naam kamata hoon
Hum hai police ki naak ke baal, insaaf ki dhaal, havaldar Bankelal ... chal do rupai nikaal
Dhak ki tiki, dhak ki tiki, dhak ki tiki ... dhaa!
Yeh Teja Teja kya hai ... yeh Teja Teja
Jab koi bachcha nahin sota, to uski maa kehti hai ki ... soja soja soja nahin toh Gogo aa jayega
Aaya hoon, kuch to loot kar jaunga ... khandani chor hoon main, khandani ... Mogambo ka bhatija, Gogo
Crime master Gogo naam hai mera ... aankhen nikaal kar gotiyaan khelta hoon main
Aaj ke zamane mein izzat ussi ki hai ... joh ya toh kisi ka kuch bighad sakta ho ya phir savaar sakta ho
Pehle tolo ... phir bolo!
Main us haramzade ko aaisi bhayanak maut doonga ... ki kaali duniya ka har mujrim gaddari ke naam se kaanp uthega
Kabhi kabhi kahin ruk jana hi achcha hota hai ... varna manzil peeche reh jaati hai aur insaan aage nikal jaata hai
Mere bedroom ka darwaza bhi meri tarah romantic hai ... ladki andar aa jaye aur jab tak romance poora na ho ... tab tak khulta hi nahi hai
Alla re alla inspector Bhinde alla ... haath mein leke kanoon ka tala
Mere kanne chakku hai!
Jab tak is jag mein paap ka raj hai ... tab tak Jagraj hai
Main tujhe aaisi maut maroonga ... ki marne ke baad tera bejaan jism mere naam se kaanpega
Yeh duniya badi gol hai ... uske andhar lamba chauda hole hai ... hum dono ka bahut bada role hai
Yeh duniya bahut badi aur lambi hai ... magar Dhanraj ke haath usse kahin zyada bade aur lambe hai
Apun ke dhande ke andhar rishta nahi ... fayda soocha jaata hai
Kanoon jazbaat ki nahi sabooton ki zabaan sunta hai
Suraj paschim se nikal sakta hai ... chandni aag barsa sakti hai ... lekin tujh jaisa mujrim kabhi nahi sudhar sakta
Hasso mat ... aaj se tumhare rone ke din shuru ho gaye hai
Shabdon ke teer maar maarkar mujhe aur zakhmi mat kar
Main aaya hoon yahan par tere liye ... aur tu banayi gayi hai mere liye
Mein ek nanha sa, pyara sa, chota sa bachcha hoon
Pehle khoon ke baad aadmi kanoon se darta hai ... lekin do-char khoon karne ke baad kanoon aadmi se darta hai
Talvar jab tootti hai toh aadmi ki jaan bach jaati hai ... lekin kalam ki nok jab tootti hai toh aadmi ki jaan chali jaati hai
Tune apni zindagi mein bade bade shaitan dekhe honge ... lekin aaj teri mulaqat shaitanon ke shahenshah Shaadilal se ho rahi hai ... jiske paas insaan toh kya, khud shaitan panah maangne aate hai
Zameen pe rhengne waala keeda kitna bhi bada kyun na ho ... usse masalne ke liye pair ka ek angootha hi kaafi hai
Ghamand toh ek sheesha hai joh toot kar hi rehta hai
Har positive ka negative hota hai ... roshni ke baad andhera zaroor hota hai
Har insaan ko apni zindagi jeene ka aur apni maut marne ka haq hai ... lekin hum mein maut ko bhoolkar, zindagi ko gaale laga lena chahiye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
