dialogues for cast:
cast:
Babban se darna jayaz ... ladna najayaz
Joh ho gaya, woh kabhi nahi hua ... joh kabhi nahi hua, woh ab hoga
Is shehar mein har police waale ka aurat apna mard ka lambi umar ke liye Karva Chauth ka nahi ... Babban ka vrat rakhta hai
Diwali kab hai ... kab hai Diwali!
Mera dharm hai aapki maut
Jab tak koi awaaz nahi hogi ... tab tak tum zinda rahoge
Mere haath kaanp sakte hai ... lekin mera mann atal hai
Mat badhao apna haath meri taraf ... agar maine isse tham liya toh anarth ho jayega
Aap hukum kijiye ... main uski gardan kaat kar aapki godh mein rakh doonga
Meri zindagi ka ek ek pal is deewaar ki ek ek eent hai
Jab pita ke budhe haath kaapne lage ... toh jawaan bete ka farz hota hai ki woh aakar unke haath batayein
Life mein insaan ko ek galati maaf hai
Aadmi budha tab hota hai ... jab uske andhar jeene ki ichcha khatam ho jaati hai
Impress karne ke liye pachees lakh ka haar bhi de sakta tha ... lekin bina price tag ke aapko lagega pachees rupaiya ka hai ... aur price tag ke saath de nahi sakta
Khana banana duniya ki sabse badi kala hai
Shaadi woh keemat hai joh ek aadmi sex ke liye chukata hai ... sex woh keemat hai joh ek aurat shaadi ke liye chukati hai
Ek chef ka kaam hai doosron ki taste ko bina taste kiye pehchanna
Waqt ka matlab hota hai, ab ... pyar karna hai, toh ab ... maafi maangna hai, toh ab ... haath pakadna hai, toh ab
Kya yeh theek hai ki paramparaen banane waala insaan hi paramparaon ki bali chadta rahe ... paramparaen jeeye insaan marta rahe ... paramparaen badi zindagi kuch bhi nahi hai?
Sirf saansein lene ko jeena nahi kehte
Yeh kambakht mohabbat hai hi badi musibat waali cheez ... aksar imtehaan leti hai ... lekin khushiyan bhi deti hai
Bahu ko beti manna agar pagalpan hai, toh main pagal hoon ... uske aasoon pochna agar pagalpan hai, toh main pagal hoon ... uski andheri zindagi mein khushiyon ki roshni bharna agar pagalpan hai, toh haan main pagal hoon
Kisi bhi insaan ki zindagi mein woh din, woh pal, sabse zyada khushgawar hota hai ... jab uska beta uski zimedariyan baantne lage ... uski kursi par baithe
Haan main cheating karta tha, par sirf khel mein ... tune toh zindagi ko khel samajh ke mujhe cheat kar diya
Shopping karne gaye the yah shoplifting?
Shraddha ka toh supermarket hai hamara desh ... jiska basement andh-shraddha ke parking se full hai
Nahin karoonga main ... aur suno, tujhe bhi karne nahin doonga
Taqat logon ko jodhne se badhti hai ... unhe khilaaf karne se nahi
Sarkar ek system hai jisme janta bhi ek hissa hai
Main kisiko soochne se nahi ... karne se rokta hoon
Nazdiki fayda dekhne se pehle ... door ka nuksaan sochna chahiye
Mujhe joh sahi lagta hai main karta hoon ... woh chahe bhagwan ke khilaaf ho, samaaj ke khilaaf ho, police, kanoon ... yah phir poore system ke khilaaf kyun na ho
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
