Page 5 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for cast:

cast:
5 (of 16 pages) | 32 (of 512 items)
1 4 5 6 16
Har insaan ki taqdeer ek jaisi nahi hoti
Jeetne waale woh cheez karte hai ... joh haarne waale nahi karte
Burre insaan ko sazaa dena uparwaale ka kaam hai lekin ... uparwaale se mulaqat karana mera kaam hai
I can understand it's not easy ... change never is ... but then that's the only thing that is permanent
Zindagi ke joh chaurahe hote hai na woh rukne ke liye hote hai, sochne samajhne ke liye hote hai ... lekin yeh dil joh hai na yeh sochta nahi hai, yeh sirf dhadakta hai ... it's the head that thinks
Chapraasi ke kaan upar ke bayaasi, neeche ke teraasi
Kanoon saale ka kaam jurm ko mitana hota hai ... logon ko nahi
Madam ... I am your only Adam
Yeh world hai na world, is mein do tarah ke log hote hai ... ek joh saari zindagi ek hi kaam karte rehte hai ... aur doosre joh ek hi zindagi mein saare kaam kar dete hai
Aadmi di zindagi vich jab sahi aurat aa jandi hai na ... tab woh zindagi poori tarah jeenda hai
Mujhse takkar lekar sirf do kisam ke log bach sakte hai ... ek woh jinka dil sacha ho ... doosra woh jinka waqt acha ho
Zindagi mein dil ki baat kehne ki himmat tabhi aati hai ... jab hamara pyar hamare hi samne kisi aur ka ho raha ho
Main tumhe itni maar maroonga ... shareer mein itne zakhm doonga ... ki dard bhi pareshaan ho jayega ki uthe toh kahan se uthe
Himmat uske paas hoti hai jiske dil mein sachchai ho
Aadmi ki maut tab hoti jab woh ... beinsaafi ko dekh kar bhi uska virodh na kare, chup rahe
Zindagi ek yudh shetra hai ... samne vijay ho ya parajay ... yodha ka dharm hai ladna aakhri saans tak, khoon ke aakhri katre tak ladna ... zindagi ka arth armaan ... satya aur insaaf ke liye satatya sangarsh karte rehna bas aur kuch nahi
Gita desh ka samvidhaan hai, woh uska kanoon hai
Muddha yeh nahi hai ki main jeeton ya haaron ... muddha yeh bhi nahi hai ki main jeeyon ya maar diya jaon ... muddha yeh hai ki ek police officer hone ke naathe mera joh farz hai ... usse mein imaandari se nibha raha hoon ya nahi ... ek insaan hone ne naathe satya ke liye, satya ki vijay ke liye main ladh raha hoon ya nahi
Apni dharti se gaddari karna ... matlab apni maa ke saath gaddari karna
Shakti joh hai woh police, fauj, hathyaron mein nahi hoti ... desh ki shakti uske rajnaitik dhanche mein hoti hai, uski economy mein hoti hai, uski nyay pranali mein hoti hai ... samaaji barabari aur mazhabi bhai-chare mein hoti hai ... aur yeh sab kuch hum mein hamara samvidhaan hum mein deta hai
Tum mera jism todh sakte ho ... meri himmat nahin todh sakte ... mera yakeen nahin todh sakte
Agar hum mein himmat hai, agar hum mein hausla hai ... toh dushman hamara kuch nahi bhigaad sakta ... jism tootte, lekin hausla na tootte
Jis desh mein pehda hue ho tum, us desh ke agar tum bakht nahi ... nahi piya doodh maa ka tumne, aur baap ka tum mein rakht nahi
Sab bikta hai ... daam barabar hona chahiye
Maa baap zindagi ke pedh ki jadh hai
Tumhare bagair toh hum sirf jee rahe the ... dil ne dhadakna toh uss din shuru kiya jis din aap hum mein mili
Pyar hi toh woh jaado hai ... joh umar bhar jawan banaye rakhta hai
Tum ho toh hum hai ... hum hai toh sab kuch hai ... varna kuch nahi, kuch bhi nahi
Joh bachche apne maa baap ko pyar nahi de sakte, sahara nahi de sakte, maan samaan nahi de sakte ... unhe main kabhi maaf nahi karta
Ek baap agar apne bete ki zindagi ka pehla kadam uthane mein uski madad kar sakta hai ... toh wahi beta apne baap ke aakhri kadam uthane mein usse sahara kyun nahi de sakta?
Aaj kal toh maa baap sirf shaadi ki date aur hall ki booking karne ke liye reh gaye hai
Doctor bimaari se ladta hai ... bimaari uski dushman hai
1 4 5 6 16

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.